Search This Blog

Thursday, October 30, 2008

Maa


Wajud insan ka sada mangta hai panaah
Khuda sey jub kuch sujhte na bana
apni mohabbat ko hi banaya rishta-e-jaan
mohabbat ka dusra naam rakha usne maa
yon haasil jahaan ko vo daulat huii
yon mamta mashur maa ke badaulat huii
aghosh-e-maadar her zee-rooh ki maang hai
kabhi khuda ki nada,kabhi tifl ki baang hai
shafqat rehmat-e-dojahaan,mahak firdosi lage
bihsht ankhon may, uski qadam-bosi may rahe
ajab lutf deti hain maa ki loriyaan
baandh rakhti hain saare rishton ki doriyaan
basher ka ehsaas pehla,anchal ki hawa
maan ke lams may maujud tha khuda
umr daur waqt,kaii jazbaat ki aama-jagah
Insaan in may maa ko dhundta raha
Kahin raahat mili na us dil ke siwa
Ek uske daman may mila sukun be-baha
Andhion ki khabar pehle milti hai usey
tufanon may kinara yon warna milta kise
waqt ke sitam hans ke seh-leti vo
apne jism se juda bhi reh-leti vo
saath chod jaate hain jahaan saaye bhi
wahin waa baahen hain maa ki abhi
Aaj mokhtaar tum, kal maa mokhtar thi
Tumhari zindgi uski sanson ka daromadar thi
Tab bhi khud se zyada chaha tumhen
Hawadison se bacha kar sincha tumhen
Zindgi ka matlab mila uski aghosh may
Marifat ka pehla daras uski aghosh may
Aaj zindgi ne fursat na di tumhen
Kal talak maa ki zarurat thi tumhen
Zamane sada badalte rahe,haqeeqat nahi
Maa ki mohabbat ibadat hai, zarurat nahi
"chaand"Be-sukuni ka daur mange shaur
Maa may maujood hai qaliq ka noor

No comments:

Post a Comment