Search This Blog

Friday, November 7, 2008

Ghurur

Baat ye sadion purani hai mere dosto
Adam ki wahi kahaani hai mere dosto
Kal jub hukum sajda-e-adam ka hua
Shaitan ghurur may apne hi mara gaya
Ghurur uska dushman insaan ka hua
apni hi jannat se vo nikala gaya
jannat jo adam ke liye thi bani
havva ke masoom jalwon se roshan rahi
kahaan taqdeer ko ezaaz ye tha pasand
kitna pur-yaqeen tha iblis ka ghamand
kaash havva ko nadaan na banata khuda
adam na hote apne khuda se juda
gharz shaitan admi hi ka hai ghurur
zyada ke laluch may jo khoye shaour
bakhshe they adam ko donon jahaan
gumraah dil ne aakhir patka kahaan
jiski ulfat may dil tha maara gaya
hijr may usi ki shaour pa gaya
nafs-giri ko apna mazhab na bana
khuda ko suna jisne khud ko suna
naya daur, maseeha naye, aur ulfat naii
ek khahish pe dekho lutey dil kaii
na-shaad dilon ko gar zubaan mil gaii
ek dozhaq ke dahaane khulenge kaii
muh kahaan chupayega maghrur admi
darya pahad jungle na bachega kahin
khuda ki inaayaat ka tassavur sone na de
zameer shaitaan ko bhi chain lene na de
bhatka kare hain sadion se kamzoriyan
talab rehbari ki najaat ki hain doriyaan
jaanib-e-khuda dil ne dhunda wasseela sada
pareshaan dil ko kabhi na mile maye-kada
ya-rab, ye dekar azmane ki hikmat teri
kahan samjh paai hai ye dunia ser-phiri
teri inayet ko taaqat bana kar haakim hua
ghulam der-perda shaitan ka zaalim hua
jise bhi bakhshi tu ne raah-e-gumrahaan
duniya jahannum bani aur vo jiya neem-jaan
laakh tadbir hukumat ki karta raha admi
isi tag-o-dudh may umrbhar marta raha admi
aaya hai jahan se jaana hai wahin
kya jagah muh chupane ko milegi kahin
be-deen, jaan afreen khuda ke suprurd huii
sau jatan karke bhi haasil na junnat hui
soch lo waqt zaalim hai rahman hai khuda
"chaand" ishq aur hawas ki hain raahen juda

No comments:

Post a Comment