Search This Blog

Monday, December 29, 2008

December


Kaii saal guzre
mai ab tak yehin hun

Tum hi December
aate jaate rahe ho

mai hairaan si
veeran si ruk gai hun

tum hi December
saughaten laate rahe ho

mosamon ki tarha
dunia kaii baar badli

tum hi December
saath nibhaate rahe ho

jaati ruton ne sada
apna daman churaya

tum hi December
mujhe behlaate rahe ho

mai jaan gaii
waqt-e-aakhir ka aalam

tum hi December
usey milaate rahe ho

zeest ki tarjumaani
kare kaun tumse behter

tum hi December
dil lubhaate rahe ho

is saal pehchaan
admiyat ne kaise khoii

tum hi December
khabar sunaate rahe ho

kahaan koii maasumon ke
sunta hai naale

tum hi December
ansoo bahaate rahe ho

baharon ki hasrath,
khizaon ke derd saare

tum hi December
samajh paate rahe ho

di mosamon ne
naveed ek aur zindgi ki

tum hi December
khuda samjhaate rahe ho

misaal meraaj ki
qayam huii hai tumse

tum hi December
lut kar muskurate rahe ho

maine dekha tumhari
serd baahon may aakar

tum hi December
mujhe germaate rahe ho

umr mosamon ki tarha
aarzi kaif laaii

tum hi December
mujhe mehkate rahe ho

dunia apne hi
ghum may mubtila hai

tum hi December
ghum chupaate rahe ho

kabhi karam mosamon ka
mizaaj gar badle

tum hi December
dast badhaate rahe ho

Chaand ne paaliye
mosamon se raaz saare

tum hi December
haqeeqat sunaate rahe ho

No comments:

Post a Comment