Search This Blog

Thursday, December 4, 2008

Mohabbat May Kahaan Koii




mohabbat may kahan koii hisaab-o-shumaar hota hai
deewanon ke dil ka ye khumaar hota hai
be-dil be-mole bikne ko sada tayyar hota hai
ye vo chashni hai bas dil be-qarar hota hai
khud ki dhajiyan bikherte dekh kaise gul koi
mosam mosam may khushi se khwar hota hai
suii waqt ki jitne chuboye laikin ye jazba
derd ki her kasoti ka meyaar hota hai
koshishen karlo chahe jtni tum daman chudane ki
ishq in adaon se kub be-zaar hota hai
her surat lage hai tere milne ki surat
musafir ke qadmon ko kinara darkar hota hai
junun ab nahi baaqi duniya bhi veeran hai
lamha lamha yaad ka teri bahaar hota hai
serd aahon may bhi dekh zikr tera hai
vird dhadkan ki naam tera yaar hota hai
teri siaah ankhon ki qasam nahi koi ghum
ek teri hasrath may her karobar hota hai
ye lahje ki sakhti ye teri be-rukhi humdam
 jitna khincha jaaye hai dil talabgaar hota hai
her sawaal se aari ye jazba hai kaari
khamoshion may teri tujhi se chaar hota hai
hama waqt sang-e-tassaur naya rang hai dilbar
be-rang "chaand" ke aks ka shinghar hota hai

No comments:

Post a Comment