Search This Blog

Thursday, December 4, 2008

Phir idd Aai hai


Ghar ghar may hungame they
Bas Bhaii udas baitha tha
abba na jaane kub aayenge

Idd ke kapde kub laayenge
Sare dost bazaron may they
junnat ke nazaron may they
Mere saare rang kub laayegi
Meri edd sayeed kub ayegi
Asmaan bhi yon bojhal tha
Maa ka pighla kajal tha
Behnon ki ankhen num theen
Kitni sochon may gum theen
Haaye munne dil ke armaan
Ek karam ho dedun jaan
Ab ke baras meher karde
roshan edd ki sehar karde
Kitne masum raah takte honge
Khud se baaten karte honge
Her baras yon milta tha
naii aas may dhalta tha
Phir Roti qurma honge kabab
Gar abba dikhayenge koii khwab
Haan khwabon ka galiyara tha
Ghar dil sab andhiyara tha
Sherminda darwaze se laut gaye
Abbu ke zabt sabhi tut gaye
Bebas maa ki ankhen theen
Lachari may bhi panahen theen
ghareebaan ki yon shaam huii
Intizar ki rasam tamam huii
Ab ke jaane kya laai hai
Chaand dekho phir edd aai hai

No comments:

Post a Comment