Search This Blog

Thursday, December 4, 2008

Us ke karam ki intihaa dekho..


Us ke karam ki intihaa dekho
ghum de kar rone bhi nahi deta

kahta hai jaaga na kar raton ku
khayalon may aakar sone bhi nahi deta

dua uski ajab sarkash hai na milne ki
arzu ban kar machalne bhi nahi deta

kehta hai na kar hasraton se wada
meri shaam ko dhalne bhi nahi deta

socha hai vasal ka tohfa anokha ho
waqt vo lamha bikhrne bhi nahi deta

ek subha sunehri ho,rubaru vo ho
khwaab,taabir se milne bhi nahi deta

tu jo chahe,chahun wahi mai bhi
“chaand” arzi radd hone bhi nahi deta

No comments:

Post a Comment