Search This Blog

Sunday, April 5, 2009

Aaj Ka Insaan



Ye shor kaisa hai
Ye kya qayamat hai
Ye khoon kaisa hai
Jo be-rang lagta hai
Insaan jub insaan ko
Deney pe aata hai
Kya kya dekhiye saaheb
Deta jaata hai
Ulfat ke perde may
Nafrat ka chakhu hai
Humderd ban kar
Milta halaaku hai
Ab kaise koi apna
Imaan bachayega
Bhaii ban kar jub
Bhaii ko kaat khaayega
Ye bhuk ajab dekhi
Ye pyaas lahu maange
Murda dilon se
Koii aur kya maange
Suna tha faisle saare
Munsif hi karta hai
ab faislon ka haq
sangdil bhi rakhta hai
machinon ka zamaana hai
insaanon ke jimson may
jo kal purze hain
inhi koii aur chalata hai
insaan ye chaalen
kahaan jaan paata hai
ek apne siwa
sab kuch bhul jaata hai
kabhi yon bhi hota hai
khud ko tak bhul jaata hai
aankhon may sapna hai
jahaan koii na apna hai
tarkash takhayul hai
aasmaan nishana hai
jub safar door ka tehra
phir ghum kya hai
kya kya chod jaana hai
aaj ke insaan
shikaar sikkon ke
aaj ke insaan
majboor dukhon se
baghawat pe hi jub
baat hai tehri
nafs ka baaghi
kyon na ho dehri
zara socho aakhir
maut ko tou aana hai
aaye huye ko ekdin
laut kar bhi jaana hai
maut se pehle
saza-e-maut se kya haasil
zee-rooh ho bani-nu tum
kyon bante ho tum qaatil
meri maano agar saathi
tum diya bano
aur mai baati
umr gar guzar jaaye
phir wapes nahi aati
tum apna safar dedo
aur mera qalam lelo
mai tum bin adhuri hun
tumhare liye zaruri hun
aao mil kar naya
ek jahaan banayenge
aao sab miljul kar
mohabbat ke geet gaayenge
khuda se kiya hua waada
pura kar ke jaayenge
insaaniyet ka sabaq awal
apni naslon ko sunayenge
-->

No comments:

Post a Comment