Search This Blog

Monday, May 11, 2009

Tu Bhul Jaa ......



Tu bhul jaa humen magar
Bas itna yaad rakh
Teri saans saans pe kharz hai
Ek ek ghumkade ka dekh
Jo nadaan they kal talak
Unhen faham ki
manzilen bakhsh kar
ab keh raha hai tu
deewanon ka ye kaam hai
hosh walon ka ye
aadha adhura anjaam hai
jo raah pehchaan le
uska ye inaam hai
tujhe khabar nahi hai
aye dil-e-be-khabar
ye jo saath saath hai rahbar
ye koi aur hai nahi
teri rooh ka hai safar
na wassaton ki chah hai
na shauq perwaaz ka
bas muntazar hai dil
Aaqa ki awaaz ka
Tu jaanta hai tera safar
Waqt,daur,badle humsafar
Na tu dil badal saka
Badle raat din magar
Aaj bhi wahi
shauq-e-deedaar hai
Aaj bhi wahi
ishq ka beupaar hai
wahi kaif ka hai samaa
wahi madh-bhari shaam hai
dilon per sabt tera
wahi nasheela payam hai
tu salamat rahe
mere meherbaan
kya hua gar
mai hun neem-jaan
tera her qadam
dil per sahi
kuch tou mere paas hai
tu na sahi tera nishaan

No comments:

Post a Comment