Search This Blog

Monday, July 13, 2009

Koii Baat Naii Chedo




Khudara ab aur na chedo
Kuredo na zakhmon ko
Ye barson tarse hain
Sakun ke ek ek lamhe ko
Unhen haraa kar ke
tumhen sakun milta ho
Tou aao,aajaao le kar
saare lafzon ke vo nashtar
tumhen marghub kal bhi they
aaj bhi mehbub hain tumko
ye pesha kahan sabko
meherbaan raas aata hai
jalaa ho jiska dil
wahi dia jalaata hai
tumhen gar bharosa ho
mere zakhmon per
inhen phir azma dekho
ye ansuon ke nahi qaabil
siffak lamhon ka hain haasil
tadap araam ki nahi aadi
derd taskin ke nahi qaayel
ghum bhi tumse nalaan hain
in qiston se pareshan hain
waqfa-e-laazim ke khwahaan hain
chalo chodo na puchenge
kyon hai aur ye kya hai
ye sab kis liye aakhir
kisi ke laashe per se hokar hi
ghar pahunche hain taayer
Koi baat naiii chedo
Koi dilbastagi tou ho
zakhmon ko Pehlu badalne ki
muhallat tou de do

No comments:

Post a Comment