Search This Blog

Thursday, July 23, 2009

Meri Jaan Daanish



Meri jaan tum ne
meri baahon may aa kar
zindgi bhula di
Meri zindgi kya thi
waadon iradon ki
Ek ansuni daastaan
sulagti yaadon ke
sisakte aatish-fishaan
Khaakh hote palon may
Jott naii tumne jalaa di
Tumne mujh se
Ye duniya bhula di
Raah-e-gumrahaan se ho kar
ranaiion may kho kar
bas deewana ho kar
Ghum ki luzzat bhula di
Samjha tha kal
Jisey zindgi ka hul
Khwabon ke peeche
Chah may chahton may
haqeeqat ganwa di
Ab jaa ke jaana
Mera maqsad tumhara hona
Meri zindgi tumhaari
Meri jaan tum jaan meri
Tumhi se khuda ne
Samjhai qudrat
Tumhi se paaya
Raaz-e-wihedath
tum ko thi sirf
Mohabbat ki zarurat
Yehi tumhara lahu hai
Yehi tumhari parwaan
yehi rab ki chahat
yehi adam ka imaan
Meri mohabbaton ka
Kinaara tumhi ho
Meri hasrathon ka
Sahaara tumhi ho
Meri her arzoo ka
Jawaab pyaara tumhi ho
Meri jaan tum
Noor-e-khuda ho
Meri jaan tum
Jalwa-e-kibriya ho
Meri jaan tum
Khuda ki ada ho
Meri jaan tum
Adam ki sada ho
Meri jaan tum
Meri Dua ho

No comments:

Post a Comment