Search This Blog

Sunday, August 9, 2009

Na koi sawaal tum karo



Na koi sawaal tum karo
Ke jawaab ki ho mujhe justaju
Tumhari shukhion se kaho
Meri khamoshi meri aabru
Sadion ka zabt tod kar
Meri tanhaion ko mod kar
Ek Talluq naya jod kar
Chaldiye tum bhi chod kar
Dil ko yehi zid rahi
Ke tum sa koii nahi
duniya laakh kehti rahi
ke tum tum hi nahi
tumhare safar ka samaan huii
mai ek puul hi rahi
musafir aaya aur guzar gaya
puul kub safar kar saka
kahin ek khayaal khaam tha
kahin ek adhuri shaam thi
kahin ek nooha aam tha
tumhari be-rukhi ki qasam
kahaan bhule hain hum
phuul aur mahak tum le gaye
khaar seeney may liye phirtey hain hum
aankhon ko aaj bhi
jaane kis jalwe ka intizaar hai
jo manzar aam tha
fareb-e-nazar ka khumaar hai
haqeeqat kahti hai mai aur hun
saamne saraab hai aur mai door hun
imaan kehta hai baa-khuda
mai usi ke dam se mashoor hun

No comments:

Post a Comment