Search This Blog

Sunday, August 23, 2009

Phir Ramzan Aaya Hai


Phir Ramzan aaya hai
Ek naya armaan laaya hai
Kal talak jo na ban paaya
Vo kaamil imaan laaya hai

Zara socho waqt ye aakhir
Baar baar bedaar karta hai
Kyon Soii qismat jagaane ko
naya daras tayaar karta hai

tumhen ho na ho bando
khuda ko tumse mohabbat hai
tum per karam jub jub ho
usi mohabbat ki badaulat hai

hai ye kaisi madhoshi
ye nasha duniya ka kya hai
tum jaante ho deewano
mohabbat khud ek nasha hai

aao mohabbat ki hi khaatir
mohabbat ka sajda ada hojaaye
is maah rab ki qurbaton ka
her deewana maza paaye

wahi raasta hai ibaadat hai
manzil wahi pehlu-e-qudrat hai
soch ka ek lamha ghanimat hai
khuda ke siwa kya haqeeqat hai

dil bandha sada rishton may
insaan butta sada qiston may
khaas tha adam farishton may
insaan samjha na nishton may

mai ne dekhi hai raah junnat ki
kiaise milti hai manzuri minnat ki
mohabbat ke maaron se mohabbat ki
khuda ne qaayem unki khatir junnat ki

aao hum apni duniya saja daalen
apne amal ko junnat bana daalen
ek ba-mohabbat zindgi ki bina daalen
aao her daagh dil ka mitaa daalen

No comments:

Post a Comment