Search This Blog

Monday, August 3, 2009

Teri surmaii aankhen kehti hain




khushian tujh may rehti hain
tera bholapan ek jaadu hai
vasal ki ghadiyaan kehti hain
teri saadgi ka ye aalam hai
jaise koii shaam jaam huii jaati hai
teri guftaar ki nermi kya kahiye
jaise koii naat sunaii deti hai
sartaapa karam ka paikar tu
qaabil-e-karam karde milkar tu
teri sohbat ka ye jaadu hai
apna ab dil per qaabu hai
derd derd may tu rehta hai
ghum mera, tera kehta hai
shaam-o-sawere tere paharey
kisi mod per ab dil na teherey
jub tanhaii had se badh jaati hai
chupke se teri khushbu aati hai
andhera jub gehera hojtata hai
teri yaad roshan ho jaati hai
ab meelon meelon sunnatta hai
laikin teri awaaz mujh tak aati hai

No comments:

Post a Comment