Search This Blog

Tuesday, November 24, 2009

Nasib karde...................


Ab tou nasib karde tera dayaar bhi
Jaanti hun rehta hai tu is paar bhi
bhatkta hai maqsud manzil se pehle
Laazim hai khud ko kare sangsar bhi
beshak wahi hai her taareef ke qaabil
Usey marghub hai bande ki takrar bhi
Azal se insaan ne insanon ki,ki tijarat
Aao karen aam admiyet ka karobar bhi
Mehbub hi,mohabbat hai haqeeqat hai
mohabat jahaan,wahin jalwa-e-yaar bhi
kahan samjha hai koi khilafat ki zarurat
afu ke aage kya hain tegh-o-talwar bhi
khahish-e-qurb hi gar wahed ho tamanna
Haazri se pehle karo khud ko tayaar bhi
Vo chahe tou mushkilon ko karde masiha
Sar-nigun hojaayen pal may aghyaar bhi
Taghayur-e-qalb se haasil ummid hogaii
Ab shaamil-e-haal hai raza-e-yaar bhi

No comments:

Post a Comment