Search This Blog

Friday, February 19, 2010

Ye saal pehla




Umar ka tumhara

Ye saal pehla
Aane waali sadi ki
Ek aisi kadi hai
kahin na kahin
Sab ki Arzu
tumse judi hai
Koi khwab tumhare
Gar dekhta hai
Meri jaan Daanish
Tumhari khushi may
Khuda dhundta hai
Jeene ka matlab
Tumse mila hai
Tumhara hona
Zindagi ka silsila hai
Tumhara haseen chehra
Meri Dua hai
Tumhari muskurahat
dil ki dawa hai
meri jaan tum ko
milengi sab ki duayen
ye mehafi tumhari
saja rahi hain maayen
ye buzargon ke saaye
faizaan-e-rahmat
inhi ki badaulat
milegi tumko junnat
meri jaan tumko
ye hi payaam denge
inhi may tumko
rahabar apne milenge
meri jaan Daanish
danishwari ki
tum missal banna
choton se mohabbat
badon ki tazeem karna
apne Abba ke dilse
apne phuul chunna
tahmmul ka daman
Ammi ka daman samjhna
tumhare rang saare
khuda ko hain pyaare
usine asmaan se
hain ye jalwey utarey
basher ko samjhaii haqeqat
warna insaan insaan se
kaise karta mohabbat
tum ye mohabbat nibhana
ho tum se roshan zamana

No comments:

Post a Comment