Search This Blog

Sunday, May 2, 2010

Jinhen naaz hai


Wafa agar lafzon may samaati

Kitney danaavon ko lahu rulaati

Jinhen naaz hai wafaaon pe apni

Un per haqeeqat ke nashtar chalati

Mudaris bhul baithe hain sabaq apne

Dastur-e-tadris unhen samjhaane aati

Aye Khoob-tar talaash karne waalo

Tum may ye ranaaii kaise samaati

Mana wafa sab ko haasil nahi hai

ye aag deewanon ko nahi jalaati

bheegi ruton ki ghaayel hain aankhen

bhala naaz inke pagli kaise uthaati

jo maye mohabbat ki do ghunt piley

kahaan hosh may khud ko ye paati

mohabbat ka her lamha wafa hai

lafzon se kahaan ye maat khaati

No comments:

Post a Comment