Search This Blog

Sunday, April 24, 2011

ye sakut shore may chupa hua....


ye sakut shore may chupa hua
raah-e-abad ka wahi nishaan hai
jisey bhul kar hum badhtey rahe
ye wahi apna purana makaan hai
koi humzaad rahnuma tha kal
aaj khatrey may usi ki jaan hai
jo waqt ki bhent chad gaya
wahi aaj zindgi ka samaan hai
soch le tu chalaane say peshter
kahin aur bhi teer kamaan hai
ye saudagiri tere bas ki nahi
ab gali gali yehi dukaan hai
madhosh masrur hai zar parast
nasha koi dam ka mehmaan hai
gar aankh say tapak gaya kahin
qatra qatra teri pehchaan hai

No comments:

Post a Comment