Search This Blog

Tuesday, May 10, 2011

ek gumraah say apni...............


Meri jaan mujh say meri jaan maangta hai

jo rondh gaya khud hi vo aan maangta hai

mujh ko bulaata hai phir rooh ke safar per

ek gumraah say apni pehchaan maangta hai

mohabbaton ka azal say yehi ek silsila hai

jo waar day khudi ko vo insaan maangta hai

her su hai aaj bhi wahi zameen hukumaton ki

her rishta mujh say mera imaan maangta hai

tuu jaanta hai meri shomi-e-taqdeer ki duhaii

tuu mujh say mera wahid armaan maangta hai

jub lag gaii hai baazi darne say kya hai haasil

kyon khauf laghzishon ka paimaan maangta hai

teri hansi keh rahi hai qareeb manzil meri hai

ab ye safar na koi saaz-o-samaan mangta hai

No comments:

Post a Comment