Wednesday, November 16, 2011

ek saath ahad ka hai......



tere mere darmyan
ek rishta hai irfan ka
ye nazar na ho jaaye
phir kisi tufaan ka
taqdeer tanha nahi milti
qisten hain sherton ki
ek saath ahad ka hai
duja ahad shaitan ka
koi laakh jatan karle
isey rok nahi paaya
ye khel hain qudrat ke
kaam nahi insaan ka
aye gosha-e-jigar tujh ko
palkon may chupa rakhte
kabhi rukhsat nahi karte
ghar jaana hi behter hai
aaye huye mehmaan ka
nahi tujh sa koi jauhar
koii laal nahi tujh sa
tu anmol khazeena hai
hissa hai meri jaan ka

4 comments:

praveesh dixit said...

रेहाना जी, ........बहुत खूब .........!
"किसी का हाल -ऐ -दिल बयां हुआ और दिलों को खबर तक ना हुई ...दिल में उठते शोर कि शिकायत , इन तन्हाइयों से ना कीजिएगा.......खामोशियाँ बुरा मान जाएँगी !

Digamber Naswa said...

लाजवाब लिखा है ... इसे हिंदी लिपि में लिखें तो और भी बेहतर होगा ...

Rehana Chaand said...

bahut khoob Dixit ji...ek naghma gunj utha hai aapki sitron may...chaliye nahi karenge...shikayet...na hi bura manaane denge...ke humen kisi ko shikaayet ka mauqa dena pasand nahi shikaayet karke....

thik hai na...

Rehana Chaand said...

Digamber ji..hum isey hindi may awash post karenge apne hindi blog per..

http://hindihainhumwatanhain.blogspot.com/