hai gar ishq khata ka pehalu
tere pehalu ki zarurat kya hai
maana ke aur bhi ghum hain
phir derd-e-mohabbat kya hai
hain ek zeest ke jhagde kitne
aye dil ek aur musibat kya hai
lutne waaley ne kahan ye dekha
akhir in halaath ki surat kya hai
tere mana ke hain lakhon chehre
bata is chehre ki muddat kya hai
waqt tere andaaz bade hain qatil
akhir ek shaam ki qeemat kya hai

2 comments:
रेहाना जी,........ एक शाम की कीमत के बारे तो नहीं पता......... लेकिन दो मोहब्बत करने वाले दिलों ने कभी भी .....जो लम्हे साथ गुजारें हों वे बेशकीमती हुआ करते हैं .......उन लूटे दिल आशिकों से पूछो ....जो अब तलक भी उन लम्हों के साथ जिंदगी गुज़ार रहे हैं.
"मैं बिखर रहा था , ये वक़्त की बगावत थी ,
लम्हों की वफ़ा थी , जो उनसे मिला था मैं !
वो खुशगवार लम्हे, वो भूल गए हों, मगर
ये जिला रहे हैं मुझको, सांस में ढलकर !!"
ji dixit ji..sahi hai...koi lamhe mahfuz karleta hai koi apni arzoo...dono suraton may ek hi aas hai...
shaam arzoo thi...warna poora jeevan maangte tou shaayed niraasha hi hath aati...ke ye zindgi sirf kisi ek ghum say kahaan sairaab ho saki...
waise khushi baantne waale ne bahut say dil chuney...ek dil aisa tha jo baantne waale say aise jaa mila ke faasle bhi uski khabar dete rahe...so yaad khayaal in sab ki bisaath kiya jub khud wahi humsafar hogaya...
Post a Comment