ye dil bismil hi acha tha
jo haal tha usper taari tha
ab her haal say ye aari hai
ye hosh nahi beemaari hai
na gharq hua na ye ubhra
bas sitaah-aab say yaari hai
ek aah raqs kinaan thi her shab
ab her shab usper bhaari hai
kyon badal gaya tu taqdeeren
kya tere badalne ki tayyari hai
baad jalne ke dil ko khabar mili
jisey samjha noori vo naari hai

2 comments:
रेहाना जी,.....अब तारीफों में लफ्ज़ कम पड़ने लगे हैं....बहुत खूब लिखा है
"जब लफ्ज़ मुस्कराहट बयां करता है
और काफिये हंसी की राह पकड़ते हैं
ठहाके गजल में बदल जाते हैं
यही जीवन है "
सदा मुस्कुराते रहो
ji achi baat hai,kahin tou muskurahat saji,kahin koi hansi gunji tou sahi...sabab koi bhi raha ho....gyaan ka haasil yehi....
Post a Comment