Search This Blog

Thursday, March 28, 2013

phir usne liya mera imtihaan..............



phir usne liya mera imtihaan
phir na samjha mujhe meherbaan
mai ne shayed na tha bolna
na tha raaz dil ka kholna
jo theen khahishen meri hi theen
saare zakham bhi faqat mere hi they
uski nazar may sab raah-e-gumrahaan
mai thi bas ek khahish-e-neem jaan
raaz khamoshi ka jub paa liya
jub her zakhm khud hi si liya
phir kyon chahta hai unki zubaan
kyon kiya ummid ka ek pal ziyaan
kahaan milteen mujhe vo samaa-aten
ban jaati jo be-zubaani ki zubaan
kabhi sun paati unki khamoshiyan
kaash ye junun le kabhi raah-e-faham
kabhi tuut bhi jaaye us ka bharam
mai saare naqaab dil ke noch lun
deewangi ka koi naya naam soch lun
phir hogi meri zameen na mera asmaan
phir rahungi mai na ye dono jahaan
Maula tu samjha raha hai kub say zindgi
Her arzu may chupi hai teri bandagi
Tu hi hai meri khahishon ki zuban
Tujh say hi hai meri ulfat ka jahan
Tera hona hi hai mere hone ka nishan
gar tu na hota phir Maula mai kahan

No comments:

Post a Comment