Search This Blog

Monday, April 8, 2013

Mera tu na khayaal kar............................





mera tu na khayaal kar
ke mai tere khayaal ki hun nafi
mere dost vo mai hi thi 
jisey chaha nahi tu ne kabhi
ek ehsaan tha tera iltifaat
karam hi tou thi teri nigah bhi
do pal ka dilasa tha vo waqt
pal do pal ki thi her khushi
mere khayaal ki hi chah thi
ye meri tujh say wabastagi
vo junun mahaz ek khwaab tha
ab her ehsaas lagta hai ajnabi
azmaish gar shert hai ishq ki
na yaad aa phir mushkil may bhi
koi dum nikal jaayega dum
phir na kehna,meri jaan gaii
sulag uthi hai ye khamoshi
shola hui shabnum ki tashnagi
sang-e-meel hai tera lafz lafz
meri saans saans hai teri agahi
maana ke bekaran hai tera jahaan
kabhi hum ko bhi yaad hi kar sahi
aisa na ho ke mai, mai na rahun
tu ho saamne, nazar na aaye koi
na bana ulfat ke tu daayerey
mushq ye kahin teherti hi nahi
jo luta rangon ke bazaar may
us rangrez ki aaj koi qeemat nahi

No comments:

Post a Comment