Search This Blog

Friday, November 8, 2013

meri soch ka ye daayera............................





meri soch ka ye daayera
apni shakal hai badal raha
khaali lakeer say kahin
apni haden yon phalangta
mujhe apne peeche pukarta
mai chali hun us ki taraf
uski hadon may khud ko baandhne
ya phir uski hadon ko thaamne
ke aakhir kahin usey rukna tou hai
mujh ko bhi kahin teherna tou hai
ankh micholi perde kahan uthayegi
bulbul ko kahan gul de paayegi
meri maan jaa mere daayere
apne asal say kabhi mujhe mila
tujhe tere karam ka waasta
mai thak gaii hun sochte sochte
tu mujh ko milega kis raaste
maine apne karam may dhunda tujhe
maine apne karam may paaya tujhe
teri aannkh khulti hai meri ankh may
mere azam hote warna khaak may
tera tabasum  hai tawanaai meri
tera hona hi hai raanaai meri
tera wajud hi hai mera daayera
jisey kabhi mai phalang na saki
ke hai abru ye nisbat ki teri
tujhi say zindgi hai zindgi meri

No comments:

Post a Comment