Search This Blog

Tuesday, August 19, 2014

rab dekhta hai kya hai banda mera...................






ab aye dil tujhe
na denge hum koi fareb
ke saare mosam aaye guzar gaye
un ke saare naale be asar gaye
ab dhadkanen bhi pareshan hain
apni be-rabt laye say nalaan hain
ye najaane kis ka qasoor hai
tera tujh per koi na zor hai
jo mile waqt se usey thaam le
her lamhe se zindagi ka jaam le
is daur ko chahe teri zarurat nahi
rab ki tu hikmat hai zarurat nahi
tu apni nermiyaan na chodna
rab se kiye waade na todna
apne karam se na munh modna
ke tujh ko aakhir kahin thamna to hai
kabhi is waqt ko bhi teherna to hai
is jahaan ko tu na jaan ayesh-kosh 
tere jism-o-jaan mitti hi karegi nosh
tu kuch bhi nahi sanbhaal paayega
acha hai gar saath kuch lekar jaayega
teri khushi may hai rab ki khushi
ke tune chuni hai apne rab ki khushi
ke rab madaah nahi jalwon ka tera
rab dekhta hai kya hai banda mera

No comments:

Post a Comment