vo kal aaj bhi gunja karta hai
vo kal aaj bhi khwab sa lagta hai
vo kal aaj bhi dil ki shadabi hai
vo kal aaj bhi dil ki bazyaabi hai
Aah koi dil suna karta tha
koi saath aahen bharta tha
koi pehlu mehkaya karta tha
koi ankhon may rang bharta tha
sab tab ki ye baaten theen
jub din apna tha apni raaten theen
chahe chund hi mulaqaaten theen
tamam umr ki saughaaten theen
jis per pathjhad ka saaya tha
ek naya mosam us per aaya tha
ek buund mangte ka sarmaya tha
wahi buund luta kar aaya tha
kyon apni ummid pe roya karta hai
kyon khud ko in may boya karta hai
kyon apni khamoshi goya karta hai
kyon bekar daman bhigoya karta hai
faqat ek dawa hai tere zakhmon ki
bas hai ek hi marham bechaini ka
apne hawason ko phir kal se mila
wahin maujud hai tere ghum ka sila
No comments:
Post a Comment