Search This Blog

Sunday, December 21, 2014

Vo shaam .................




vo shaam bada hi yaad aati hai
vo shaam aaj bhi dil gungunati hai
vo shaam muradon ki pazeeraii thi
vo shaam paas-e-wafa ki ronumai thi
vo ek shaam khwabon khayalon si
vo shaam ajab khisse sunaati hai
us shaam pehlu bhi tha ghaafil
us shaam ehsaas bhi they ojhal
us shaam gumaan binaii ko bhi tha
us shaam dua shahid ban ke aai thi

us neechi nazar ke fitne saarey they
us tabassum may dil ke khasaare they
khamoshi guftar per thi maayel
arzuyen uske aage huyeen ghaayel
magar dum tod raha tha waqt
us dum halaath bade they sakht
yaqeen o gumaan ki jung thi jaari
ek birha ki maari herdum hi haari
magar aaj tak vo pal zinda hai
khayal ka vo jugnu aaj bhi tabinda hai
ke vo lamha mera na ho kar bhi mera hai
usi lamhe se in zulmaton ka sawera hai

No comments:

Post a Comment