Search This Blog

Wednesday, December 3, 2014

ye duniya ek tajruba hai..............







ab meri jagah is zameen per nahi hai
sochti hun kya ab tak vo dil yehin hai
duniya ko nazar na aao to ye samjho 
tumhara wajud ab us ka hissa nahi hai
ye kaisa lahu hai pal pal may rang badle
laikin kisi rang ka ehsaas kyon nahi hai
qabza dilon per asan kardiya hai usney
nabina nafs ke aagey ulfat jo nahi hai
ghulaam waqt ke hone lage hain nadan
kya bhul gaye waqt eksaa rehta nahi hai
faramosh hogai kyon gardish ki hakeemi
dar us ghadi se jiski tujhe khabar nahi hai
maula jawab tera muhamal hi raha hai
teri hikmaton may adam ka guzar nahi hai
duniya ek tajruba hai adam tajruba-gah 
ye rab ka safar hai tera safar nahi hai

No comments:

Post a Comment