Search This Blog

Monday, January 11, 2016

dono jahan arzu ke siwa kya hain........................




jo dooba ho intizar may
usi ne maza intizar ka jaana
ummid ka jahan taye hai
bas deewana hojaana
raaston ka kaam hai shaayed
raasta de kay kho jaana
yaad ka karam yehi hai 
her lamha manzil ka pajaana
jub khud may tujhe bolte dekha
usi lamhe ko sawa jaana
khwab junnat ka vo kyon dekhe
mil gaya ho jise tera veeraana
dono jahan arzu ke siwa kya hain
kisi ke liye kisi ko chod kar jaana
mulaqat haq se roz hoti hai
jub jub pada hai thokarein khana
laakh hikmat sahi uski,zahur adam ka
kahan asan tha duniya ko jhayl kar jaana
waqt thoda hai sabaq hain beheterey (kaii)
kar diya chund lafzon ne aqal se begana
kan kan may jub namud hai uska
bura kya hai duniya se dil ka lag jaana
kaash kabhi hum per vo alam bhi aaye
tu saamne ho aur hosh may bhi ho deewana

No comments:

Post a Comment