Search This Blog

Friday, January 1, 2016

Ek taara...........






ek taara teri tarha
roz ankh micholi karta hai
kon in siyaah khaali raaton may
khud ko tatola karta hai
asmaan ki taraf nazar uth jaaye tou
vo taara paas bulaaya karta hai
ek shoghal hai jaari baala baala hi
hawaon per kub koi tehra karta hai
ankhon may khinch kar surkh doriyan
kisi ke ashk dobaala karta hai
ye veeraani ankhon ki kehti hai
ke vo khwaab churaya karta hai
kya ye lafz tera dil paa jaayenge
phir goyaii se kyon darta hai
maan le baat purane waqton ki
zakaat-e-ishq koi koi hi liya karta hai
hain saare bakhedey tujhi se husn-parast
tu her nazar may khud ko dhunda karta hai

No comments:

Post a Comment