Search This Blog

Saturday, March 19, 2016

bheegi huii rutein hain..................



bheegi huii rutein hain
bheega hua hai dil bhi
bheegi hui hain palkein
kya kya rah gaya hai inme ghul ke

shaam ke in dhundlakon say
koi khayal aa raha hai nikal ke
in baarishon ne baarha kaha hai
barsa karenge hum nigahon se teri mil ke

murda dilon ki ye karte hain aabyaari
banjar dilon ko kar dein phulon ki kyaari
gar ye mosam nahi tou zindagi lage bechaari
inme khil uthe hain jaane dil kitne dhul ke

taaza hain aaj bhi kitaabon may vo gulaab
boseeda awraaq may saje hon jaise khwaab
daman se lipat kar maangna chahte hain jawaab
yaadon se guftagu kyon na hojaaye aaj khul ke

ye shajar kyon na hon khud pe nazaan
ab ke bahaar unko phir kardegi shadaan
qudrat ki sitam-zarefi pe hairan hai insaan
phir kahan khilega umar ka ye phool dhal ke

jaan le moqadar kitna giraan qadar hai
mosamon se bhi waqt tera mokhtasar hai
samjhna haqeeqat ko apni khoobter hai
aisa na ho rah jaaye tu haath mal ke

azeez honge jaane kitne haseen nazaare
yehaan sab ke sab hain duniya ke maare
adraak ke lamhe hain darkhashaan sitaare
her qadam pe manzil khud aayegi chal ke

No comments:

Post a Comment