Search This Blog

Thursday, March 3, 2016

pur-ummid hain dashth chaarsu..........................



abhi  tafseel-e-haal mohaal hai
laikin  jo haal hai bad-haal hai
kahin  koi khwaab paamaal hai
kahin  asal ko milta zawaal hai

nasib nahi aah ko bhi germiyaan
serd jazbon ka hi ye kamaal hai
pur-ummid  hain  dashth chaarsu
yehaan bahaar ab  ke  halaal hai

alam hai shab-o-roz ka ab bhi wahi
bas khwaab hai ab na khayaal hai
lafz bhi gum hain apni talaash may
kya koi arzoo hai ya koi sawaal hai

jwaaz apna khwab dhundte hi rahe
zindagi tou haqeeqaton ki misaal hai
pyaas dil ki sahi rooh tou sairaab hai
ke mera habeeb saheb-e-jamaal hai

tera khayal ab bhi herkath hai meri
Aaj tak mera yaqeen be-misaal hai
chah kar bhi chahna chod na sakey
tere haath isi karam ki mashaal hai

No comments:

Post a Comment