Search This Blog

Wednesday, July 20, 2016

Ek baar phir mujhe....



Ek baar phir mujhe
Usi safar pe lay chalo
Jahan her shaye khumar thi
Jahan ankh dil may shumaar thi
Na dahan zer-e-baar-e-kalaam they
Na dil ke pyaam nashar-e-aam they
Na chasm talab-e-iltifaat ki thi mutmani
Na tha malaal koi bujh le na ye unsuni
Bas rubaru tha Ek jalwa khaira kun
Dil sun raha tha uski dilnasheen dhun
Lafz samaaton ka safar kar hi na sake
Hissein aaj tak apni maut mar hi na sake
Aisa samaa kabhi aam ho hi na saka
Ye lamha sab ke liye jaam ho hi na saka
Bada baa kamaal tha mil kar nahi mila
Darmyan deewar thi,aur jaari tha silsila
Ek aaina rubaru tha jaise shab-o-roz
Khud apna deedaar tha kitna jaan soz
Ghusl-e-sehath paa gaieen rooh ki aziyetein
Mukammal kar gaieen Ye dar perda sohabatein

No comments:

Post a Comment