Search This Blog

Sunday, August 14, 2016

Ek tera khayaal le kar .......






Zakham khaate rahe ashk peete rahe
Ek Tera khayaal le kar hum jeete rahe
Duniya ne hum pe Laakh todey sitam
Her zakham apna hans kar seete rahe
Liya imtihan khird ka kuch is tarha 
Jism-o-rooh se  be-khabar jeete rahe
They Uski ulfat ke bade ajab masghale
Khayaal uski perwaz  per buland hote rahe
Ekhtiyaar tha jin pe ekhtiyaar de na sake
Khamoshi Se  zindagi may jaate aate rahe
Ek umar khud per hans kar guzaar li
Na-samajh they duniya Se takrar karte rahe
Duniya apne junun may mahu-e-raqs thi
Jaane kyon her ilzaam sar apne hum lete rahe
Hai Umar tohfa  her subah ek nai zindagi
nadan zindagi bhar zindagi per rotey rahe

No comments:

Post a Comment