Search This Blog

Thursday, February 2, 2017

Mai khwab nahi Hun....





Junnat Ke khwab 
dekh leta hai admi
Junnat chahati hai kya
Kahan sochta hai admi
Logon ka hisaab hai kharab
Bhul jaate hain karna shumaar 
ayesh koshiyon ka aage bhi hai intizar
Vo jo kiya nahi umarbhar
Vo jo karte rahe they umarbhar
Khuda se hut gaii bas junnat pe hai nazar
apne saudon se bakhabar hota hai admi
Khud ki bhul kar bhi bhulta nahi
Kisi aur ki meher mohabbat se tolta nahi
Warna Insaaniyet ko qarz ki tarha wasulta nahi
Rab ne ek dusre ki khatir baanaye they admi
Admi se hi cut ke rah Gaya hai admi
Duniya ke rang to adam ke dum se hain
Gar admi na raha Kya karega admi
kehte hai maut to aati hai waqt per
Aaj kal admi ke liye khud ajal hai admi
Dil ka gudaaz hi junnat ki peheli seedhi
meher-o-mohabbat se hi milti hai vo ghadi
Ek tabasum se bhi junnati hosakta hai admi
Kisi dil ki dua tujhe abaad karsakti hai admi
Khwabon se aa nikal mujhe paane ki sayee to kar
mushkil nahi hai kuch bhi gar thaan leta hai admi
Rab her raah per nishaan ban ke mil Gaya
Teri mohabbaton May tujh may hi dhal Gaya
Qaliq hai dastaras may admi aur tujh ko Kya chahiye
Us ki sangat se behter aur kaunsa moqam chahiye
Paana hai mujhe apni maa ke qadmon ko choom le
Ghaur kar junnat inaam kyon hui aur jhoom le
Mai yehin kahin Tere Amal ki Hun muntazar
Pehle khud ko tayar kar us ki  inayeton ka shumaar kar
ye duniya ka karobar sajaaya tere liye
Kal bhi tha vo Tera aaj bhi vo hai tere liye
Teri hi khatir junnat Se nikaala gaya tha admi
Ummati hone ki laaj rakh mujh ko paa le admi

No comments:

Post a Comment