Search This Blog

Wednesday, February 22, 2017

Zinda to hotey sabhi hain......................







Waqt tamaash been hogaya hai
Hum hogaye hain tamaasha  
Duniya ke rang hum per
Nahi lagey zara sa
Mushkil yehi hai apne dil ki
Apne haal ka ghum nahi zara sa
Zinda to hotey sabhi hain
Zindagi tou mehsus karlein zara sa
Humne lalkaar per lubbaik keh diya hai
Hum ko apne rab per shak nahi zara sa
Khair maangte hain apni deewangi ki
is waraftagi per, ho karam Zara sa
Teri khamoshi ne saakt kar diya hai
Humein hosh apna,nahi hai Zara sa
Shab-o-roz ka alam Kya Poochte ho
In May lagta nahi hai koi apna Zara sa
Hijrat aur hijr ke kar ke puray taqaaze
Qiston may but gaya hai wajud ye Zara sa
Achi sujhaii tu ne rasam ye wafa ki
Be-dil per ,taras khaa to le Zara sa
vo jalwa ashkar bas hua chahta hai 
Duniya ki bheed ka, perda hai Zara sa
Koi shabeeh uski,  banti kyon nahi hai
Kho jaata hai tassavur , aa aa ke Zara sa
Noor-e- mujassam dhalte kahan hain paikaron may
Deewanon ki khaatir bhes lete hain zara sa
Rooh may uter kar raaz hasti ka kholte hain
Is karam ke sadqe khud ko paaliya Zara sa
Mujh May sada ,wahi tou bolta raha hai
Jis Ki khamoshi ke aage hum hogaye hain kaasa
Khuda ne apne Faiz-e-be-karaan ka
Hum per kar diya khulaasa 

No comments:

Post a Comment