Search This Blog

Saturday, August 11, 2018

Mai Hun wahi ..,,,,


Waqt ki daraaz Se nikla Hun abhi abhi
Mai Hun wahi safah jise kisi ne padha nahi
Ye huruf Meri zaat ke usi siyahi ka kamal hain
Gar vo nahi to Mai nahi aur mai abhi Mai nahi
talaash kabhi khud ko bhi kar, dekh paane ka maza
Bekaar hai jeena Tera khud ko gar paaya nahi
Lafzon May mujh ko na talaash na Mai koi awaz Hun
Mai to aye jaan e khuda Teri ulfat ka ghumaz Hun
Sadqe Mai aye rahbaran tu dilon May hai biraajmaan
Her lamha hai ek daras Mera haal hai Tera bayan 
Waqt chahe daboch le chahe kas le shikanja haal ka
Ek Tera fusun madawa hai wahed mere Malaal ka
Ek be rabt ibarat hi sahi rah jaaye ga mera nishan
Tu rahta hai sada mere rooh o jism ke darmyan

Saturday, June 2, 2018

Samar...................







mohabbat ka samar ye jahan hota
Maza mohabbat may ye kahan hota
———————————————------------------

dono jahaan luta kar paai hai zindagi
khud ko maar kar haath aai hai zindagi
jo na-samajh rahe tahi daman hi gaye
pahlu badal badal kar ganwaii hai zindagi
ankhon may sametli zabt ki sangdil numi
Khud apna tamasha kiye jarahi hai zindagi
dil todne waale us lamhe pe ghaur kar
ek ek buund ka hisaab leti hai zindagi
jaanib-e khayaal ek ungli hai uthi hui
manzar kashi apni hi dikhaye hai zindagi
teri hikmat ka hi raaz hain mere khayal
roz ek jawaab se milaati hai zindagi
maalik sarnigun hai rom rom ye mera
tujh si koi raah kahan paaye hai zindagi

Wednesday, May 2, 2018

ek lamha bichda hua ........................

koi bichda hua lamha tha
is pal ko chu kar guzra hai
-----------------------------------------

in be-tarteeb khayalon ke
is moham se taane baane may
chupey kitne afsaane hain
jo tum ko sunaane hain
chale aao aa bhi jaao
ek raat adhi adhuri si
lafzon may samaana chahati hai
kisi khushbu ke hisaar may kho kar
koi dhun jagaana chahati hai
kaho kya kahun mai in lamhon say
jo dheeme dheeme guzar hi jaate hain
is pal ki khamoshi ka shor machaate hain
khayaalon may aa aa kar jum jaate hain
phir koi patharaii hui khahish per
puri quwat se zarb lagaate hain
Aah! nadaan ye bhul jaate hain
her baat ki ek umar hoti hai
jazbaat ki bhi ek umar hoti hai
koii keh de jaa kar un say
be-waqt kyon chale aatey hain

Friday, April 20, 2018

Amma maine jaan liya................................



khudaya tujhe dhundte hain jo
vo paa kar bhi tujh ko paate nahi

jo badha kar maangte hain haath
kyon dilon ko ghar banaate nahi

deewaron may chun kar apni zindagi
saanson ke liye yon chatpataate nahi

yaa-rab hawa di sab ki parwaaz ko
gar samajhte ek dusre ko giraate nahi

apni mohabbat ka maa ko pyamabar kiya
warna jahaan may insan sakun paate nahi

do rukhi aaina dil dikhaaye bhi tou kya
jaan lete gar,khud se nazar churaate nahi

mokhtasar si kahani ka unwan dhund kar
yon zindagi pal pal apni ganwaate nahi

apni ramhat ki farakhi maamta may rakhi
gar jaan lete door qadmon se jaate nahi

raat din ka hosh ho vo mohabbat tou nahi
ye vo alam hai jahan kisi ko lautaate nahi

ek umar ki jung jeet jeet kar haara kiye
waqt rahte hum insaan samajh paate nahi

amma tumhara hona tha hona ek nizaam ka
ek tumhare baghair manzar ye bhaate nahi

Friday, February 16, 2018

ek diya humne bhi jala kar rakha hai...............



Ek diya humne bhi jala rakha hai
Teri khatir  khud ko bujha rakha hai
Vo kehte they jisey dil kabhi hum bhi
Usey Teri raahon may bicha rakha hai
Ek ek lafz piro kar sajaya hai tujhe
Ek ek lamha galey se laga rakha hai
Rafta rafta ho hi gaye rafu ye zakham
Jinhein barson say chupa rakha hai
Simat gaye tere khaul may hum bhi
 tere qaul per khud ko bhula rakha hai
Barson se sulagti  is khamoshi ne
Ek tufan seene May macha rakha hai



Sunday, February 4, 2018

mere mansab se vo mujh ko hutne nahi deta....................





mere mansab se vo mujh ko hutne nahi deta
mujhe apne iradon may kabhi butne nahi deta
sada dhunda kiye khud ko us ki nigahon may
nigahon se kohra khayalon ka chutne nahi deta
magan ho kar duniya bhula sakta hai deewana
magar  junun  apna kabhi ghatne nahi deta
tujh se raah-o-rasam ki bas yehi ek hai surat
tassavur ko tere ek pal bhi mitne nahi deta
meri saansein  gawaah hain  tere  ek hone  ki
tu mujh se nazar teri kabhi hutne nahi deta
khudgharz duniya ki gharz hum ko bana kar vo
hamare dil se faiz apna kabhi ghatne nahi deta
tamashaii jaanta hai bhedh in tamaashon ka
sabab,musabab se ek pal bhi hutne nahi deta

ye mahaz lafz kahan hain mere....................





ye mahaz lafz kahan hain mere
ek ek khwab sunaya karti hun
Ek raat ka hai saara afsana
Jahan khud ko ganwaya karti hun
pal pal jo buni thi dil ne
wahi tou sajaaya karti hun
roz roz tassavur se juda ho kar
koi tasveer banaya karti hun
apne lafzon ka gira kar perda
ek raaz bataaya karti hun
roz ek naya kar ke irada zalim
roz khud ko sataaya karti hun
mere hone ka bharam hai tujh se
her su tujhi ko paaya karti hun
tujh se hi hai saari faramoshi ye
tujh se hi hosh may aaya karti hun
jahan apna patta na lag paaye
wahan khud ko chupaya karti hun
tera karam hai ek labreiz suraahi
her dil ko jum jum pilaaya karti hun

Monday, January 8, 2018

jo aake ek baar teher gaya wahin......................







mai kal bhi khwab thi
aaj bhi deewane ka khwaab hun
apne her adhure khwaab ka
khud mukammal jawaab hun
kaatib-e-qalam ki soch ka
mai ek adhura baab hun
dilon ka bhedh jahan ashkaar ho
mai us faqeer ka bekal rubaab hun
jo aake ek baar teher gaya wahin
mai us nigah ka mehekta shabaab hun
mohabbaton ki tarha nawaza gaya jisey
mai us sagar ki ana ka adna hubaab hun
kal bhi jawaz tha aaj bhi hai zindagi
uske baghair mai khaali kitaab hun
duniya karle laakh uske haal ka shumaar
mai uski khamoshi ka bhipra chanaab hun
muddat huii mujhe apna dil tatol kar
aaj bhi usi daur ka koi sukha gulaab hun