Search This Blog

Monday, November 3, 2008

Aye khuda

aye khuda qhaher tera ek ishaara hi sahi
ye zalzala tune mere liye utaara hi sahi
ek mai hi kyoon hun khata waron mein
andaaz iblis ka tujhe pyara hi sahi
mujh ko sirf jannat ka wada kyoon hai
aday-e-kafiran tujh ko gawaara hi sahi
jhaan- e-faani may jasd khaki aur sab khaki
tera wada bas phoolon ka gahawara hi sahi
sil gaye hain lab mangon ab tujh say kya
kabhi tu ne mann- o-salwa utaara hi sahi
"chaand"pareshan hai akhir ye maajira kya hai
sabne jahaan paaya mujhe
ek tera sahaara hi sahi

No comments:

Post a Comment