Search This Blog

Monday, May 22, 2023

dil keh raha hai.................

 



aye khuda mujhe khud nahi patta

mujhe kya hua mujhe nahi patta

dil keh raha hai bus sab bhul jaa

jo hogaya hai tha sab taye-shuda

teri soch ka mehdud hai daayera

tu bas apni taqdeer ki maan jaa

kaatib ne jo likha apna sar jhuka

her aane waala ekdin wapes gaya

waqfa faham ka na ro kar ganwa

duniya ka husn arzi,arzi hai irteqa

rooh se qayem hai adami ki baqa

khaaki may khalikh ka ansar hi mila

Thursday, May 11, 2023

ye shaam badi mokhtasar hai....

 



jaan liya hai jaan kya hai

jaate jaate jaan ne kaha ye

kisi ko jaan na keh sakenge

ye shaam badi mokhtasar hai

isey jawaan na kar sakenge

umar ka dhoka kha liya hai

waqt ko rawaan na kar sakenge

hijir-o-vasal ke lateef tazkare may

tera derd ziyaan na kar sakenge

tere sath munjamid dil hogaya hai 

isey aur pareshan na kar sakenge

Tuesday, May 2, 2023

ye kal ki baat hai...

 


ye kal ki baat hai

humqadam they tum mere

ye zameen thi meri

asmaan se tum jo they

mujhe kahan hosh tha

meri duniya tum jo they

sohbaton ke ajab rang they

mere rang tumhare hogaye

mai waqt ki likhi dastan hogai

tum mera unwan hogaye

zindagi ka ek anokha tajruba

ehsaas ka safar ain se parey

jahan baat dil hi kare dil sune

darmyaan jub paikar hi na rahe

phir koi justaju kyon kar kare

meri zindagi may tum hi they

aaj is khula se horaha hai nashar

perwaz to hai taye,zindagi mokhtasar

ye naye ratjagon ki numi hai......................

 


zindagi naye safar per

lagta hai nikal gaii hai

shaayed dil ki duniya 

rang apna badal gaii hai

----------------------

khwab safar ke raaston ko

musaferon ki kya kami hai

khwabida ankhon may aye dil

ye naye ratjagon ki numi hai

na ghum hai na khushi hai

nabz bhi thami thami hai

lipti hai kohrey may duniya

ya dhund sochon per jami hai

zindagi ,zindagi lagti nahi hai

shayed,teri saanson ki kumi hai

suragh us jahan ka mil gaya hai

is safar per tu tanha nahi hai