Search This Blog

Saturday, July 28, 2012

Maine phir aaj tumhen dekha......





Maine phir aaj tumhen dekha
maine aaj phir say tumhen chaha
jaisey koi khayaal rubaru hojaaye
jaisey koi aks hubahu nazar aaye
aisey tumsa koi jub saamne aajaye
kaash phir say koi khwab hojaaye
mai us lamhe ku giraft may le lun
tumhen ek baar nazar say chu lun
kisi pal mujhe bhi hosh aajaaye
jub saamne tumsa koi aajaaye
vo ghadi yaqeen ki surat le le
pehchaan ke saaye usko tatole
dum bhar ku ujaala hojaaye
jub saamne tumsa koi aajaaye
ek yehi rishta nibha hai hum say
ye dil kub chupa hai tum say
ye ek dum say tumhara aana
ek nazar-e-karam ka mil jaana
sau darr shifa ke kholey
ek nazar tumhaari jub boley
mere derd door huye ab saare
ek tumhaari uns ke aagey sab haarey
mai ne haar ke sab jug paaya
tumhen paana hi mujhe raas aaya
mai mamnun hun ulfat teri
tune laaj ulfat ki rakhi hai meri
jub bhi koi ghum nay mujhe sataaya
tu ek naye roop may saamne aaya
tu le jaata hai mujh say mujh ko
her dum mai paas rakhungi tujh ko

Friday, July 20, 2012

Rida





ye tere karam ki intiha hai
regzaron may gul khila hai
teri meher nahi tou kya hai
ab ke Rida ban ke tu mila hai
jahaan boye khaar zindgi ne
usi  chaman ka  tu silsila hai
naukheez titliyon ke paron sa
ajab gudaz tujh may ghula hai
masumiyet teri karti hai baaten
ek khamosh derd ka tu sila hai
tu sar hai sajda hai bandagi hai
maa ko rutba tujh say mila hai
qudrat ka tu anmol hai khazina
tujh say raaz zindgi ka khula hai
tu hai wada bihisht ka meri jaan
jo dil rab ki raah per chala hai

Saturday, July 14, 2012

ye jo ruka hua carvan hai............................





ye jo ruka hua carvan hai
khud manzilon ka nishan hai
jahan chahun ho ulfaton ki
wahi uska naya makaan hai
barha sehra ne us say poocha
ye kya tere mere darmyan hai
jaise ufaq vasal ka hai dhoka
mera teherna tera gumaan hai
nakhal jusatju ka hi hai haasil
sarab ye jahan ya vo jahan hai
ab pyaas koi nahi hai baaqi
her qatre may kausar ayan hai
tune kaha hai tu sab jaanta hai
phir kis liye tu badguman hai
ye ret ka safar hai na rukega
qadmon ko iski khabar kahan hai