Search This Blog

Saturday, October 31, 2009

Aye ghum-e-be-karaan


Aye ghum-e-be-karaan
Tu kahaan nahi,Kahaan nahi
Na ho pareshaan meri ghazal
Nazm na bigad jaaye kahin
Zabt-o-jazb ka hi riwaaj ho
Phir kahin jazbon ki meraaj ho
Ek mauqa hojaaye gar atta
Phir khayaal paaleta hai khuda
Aye udaas rutt teri qasam
Maine bhula diye ranj-o-ghum
Inhi may khushi ke raaz hain
Soz-o-Saaz ek hi andaaz hain
Kabhi guzro kisi derd ki shaam se
Dekhna hojayenge derd apne aam se
Sadion se zindgi ka yehi hai chalan
Ye kabhi khaar hai kabhi chaman
Mai kahin nahin ,tu hai ku ba ku
Maalik rahe tera karam aur meri “hu’

Tuesday, October 27, 2009

Chehre aks roohon ka


Chehre aks roohon ka
Aksar hua nahi kartey
gar haqeqat samjh letey
log chehron per nahi martey

Friday, October 23, 2009

Tajdeed-e-mohabbat ke liye janaan



Tajdeed-e-mohabbat ke liye jaanan
apna milna zaruri hai
Dekho Hosakta hai jaanan
Kabhi mujh ko bhula baitho
Yehi meeraas hai bas apni
Chund lamhe qayaamat ke
Koii shab ghum-e-mohabbat ki,
Ek seher-e-ummid inayet ki
Tumhen yaad ho ke na ho,
Meri yaad faqat tum ho
Meri manzil ka sahara tum,
Her tufaan ka kinara tum
hasrath ko bade shauq se paala
Her khwaab adhura jhela
Phir bhi na shikayet ki,
Yehi rasam mohabbat ki
Tum dhundloge bahaane sab,
Baat moqadar ki bhi karoge ab
Kabhi waqt junun jo tha,
Kya koii guman tha ke fusun tha
Maazi ko haal bana daala,
Her khauf dil se mita daala,
Beemaar ke liye janaan,
Kya Ab tak na mila shaafi
Tahrik-e-mohabbat ke liye janaan,
kyon ek dil na hua kaafi
Aks jo bhi sawaali honge,
Tumhen apna patta denge
tutey dil ki sada kya hai,
tumhen itna tou bata denge

Thursday, October 22, 2009

kahaan ab humse deewane



Umr kuch is tarha
Huii basar apni
Na thi kisi ki khabar
Na rahi khabar apni
ajab dil ke mosam they
ajab thi dagar apni
Apni zindgi kub thi
sab ki rahii magar apni
waqt ke taqazon per
kahan hui guzar apni
ajab moqam hai ashiqi
wahin hogaii basar apni
hotey be-khudi ke qaayel
hoti khudi agar apni
jiske aage jukh gaya dil
usi ne ki qadar apni
maikash aur mayekhane
unme kahaan lehar apni
kahaan ab humse deewane
kahan paai sab ne nazar apni

Saturday, October 17, 2009

Zindgi Badan Hai....


Zindgi badan hai
Maut ek quba hai
khwaab se husn ki
Mashur-kun ada hai
Rupehele raastey hain
Manzil magar juda hai
Ek shahid-e-fana ka
wahed moqam-e-irteqa hai
saraab khahishon ka
taabir-aashna nasha hai
samjho tou zindgi ye
Maut se wafa hai
Gar yaar meri maano
Maut zindgi ki sada hai

Sunday, October 11, 2009

Kya Chahiye.......


Saans lene ka faqat
Gumaan sa hai kyon
Zindgi faqat zindgi
kyon lagti nahi
aakhir aye jahaan
tujh may kya hai kami
tu apni asal se
kabhi milta nahi
tere zahur may
hai usi ka zahur
tere shab-o-roz may
sirf uska shauur
aakhir tujhe ab
aur kya chahiye
maut se pehle maut
ya zindgi chahiye
tu jaan leta agar
raah kaunsi hai ye
teri mannzil hai kya
her dil my hoti
bas ek hi iltija
yarab meri zindgi bhi tu
maut hai tere milne ki dua

Sunday, October 4, 2009

Yaqeen ko Apne Aazma


Aye khuda
Dena usey
Ek roshan subah
Kitni raaton se
Vo soya nahi
Kitni subahen
Khoya hai vo
Zindgi ehsaas hai
Usko hojaaye atta
ye raaten azaab si
subahen be-noor hain
uski dastaras se
ye mosam door hain
usne khud chuni
apni khahishon ki saza
vo bangaya kisi aur ki
khahish ki dua
phulon ki rahguzar per
chalta raha abila-pa
ristey zakhmon ka usey
patta tak na chala
in ansuon may
shaamil hai uska lahu
uske derd hain sabhi
mere derd kaise kahun
dost jub ho naaseha
sab hojaye khatta
ek apne siwa
ek baar bas zara
yaqeen ko apne aazma
dil ki awaaz sun
waan kis ki hai sada