Search This Blog

Thursday, March 31, 2022

dekh kya hai rab ka ishara......................

 


zindagi arzu ka nagar hai

zindagi khahishon ka safar hai

zindagi azmaishon ki rahguzar hai

zindagi tera waqt mokhtasar hai

------------------------------------------------------------------------

nadam hai waqt ye 

her laghzish hai pasheman

ek umar ganwa kar 

hosh may aata hai insan

rubaru thi manzil maqsud

pul-siraat they imtihan

do qadam hi door they

per talatum ke they emkan

saakin tha her manzar

saare andar hi they tufan

itni thi hosh ki qeemat 

is nayab waqt ko pehchan

dekh kya  hai  rab  ka ishara

jiske qabze may hai teri jaan

ek lamatnahi khamushi say................


 

tum kahin nahi gaye ho

mujh may hi rah gaye ho

--------------------------------------------------

mohabbaton ke janaan

aaj bhi wahi silsile hain

dar haqeeqat chah kya hai

bhedh ab ja ke khule hain

ek lamatnahi khamushi say

dil ke shore say aa mile hain

teri pashemaniyon nay

jaanti hun tere lub siley hain

hum dono ke ahad-o-paimaan

tere sang khaak may mile hain

gar sab kuch tha faqat mitti

phir kis liye ye gul khile hain

tera jaana kyon khwab sa hai

ye din khwab may hi dhale hain

tu shab-o-roz may hai shaamil

darmyan laikin sadiyon ke faasle hai

Monday, March 28, 2022

Zindagi ruki hai kahan jaakar.....

 


yaad may tumhari ro kar

tasawur may tumhein la kar 

socha hai tadap ke aksar 

zindagi ruki hai kahan ja kar


abhi abhi charagh-e-dil they jalaaye 

abhi saji thi dil ki gum-shuda mehefil

abhi hasrathon ne they fareb khaaye  

abhi tewar waqt ke na they itne qaatil


sada mokhtalif they,perwaz ke zawiye apne

dil ne kaha,duniya shaamil na thi tujh may

tu bheed may duniya ki uljha,uljha hi raha

dil dhundta hi raha tujh ko tujh may


suna tha duniya hai saraaye faani

mokhtasar adam ki hai zindgani 

ye waqfa-e-inayet hi hai itaa-at

jo samjha uski hayaat hai javidani 


ye shajar ye mosam apni hain kahani 

inhi may badalte waqt ki hai nishani 

mumkin hai badal jaaye irada-e-katib 

nizaam-e-hasti hikmat ki hai zu-fishani 

Thursday, March 17, 2022

hijir ka sabaq naya hai.................



hijir ka sabaq naya hai

zindagi le kar gaya hai

------------------------------------

dil aaj bhi wahi hai

per tu kahin nahi hai

dhadkan chal rahi hai

per vo shor ab nahi hai

tere baghair udas hun mai

tere baghair duniya naii hai

teri panaah ki aadi zindagani

tanhaiiyon may behel rahi hai

ab is waqt-e-mokhtasar may

shaam-o-seher hisab may nahi hai

ummid ki kahani rah gaii adhuri 

siter akhiri khamoshi likh rahi hai

banda jaanta hai zindagi qaraz hai

ye saudagiri muft ki bilkul nahi hai

her saneha zindagi ka imtihaan hai

zabt tera rab ku paane ki sayee hai

Saturday, March 5, 2022

Kaash.......

 



kaash zindagi khwab hi hoti

na jaagne ka koi sawal hota

na  hoti  taabir ki  koi hasrath

na vasal-o-hijir ka malaal hota

jo tha khumar tha sohbaton ka 

dil ko hosh hota na ye haal hota

vo faraar tha meri bechainiyon ka 

kaash  waqt ka na koi zawaal hota

ek teri humnashini giraan qadar thi

tu nahi to kahan koi khayaal hota

mauj-e-beher-e-ghum ki zad may

janaan,yaad ka her lamha visaal hota