Search This Blog

Sunday, July 12, 2026

Tumhari zindagi may….


Kya mera koi hissa nahi hai  

Tumhari zindagi may

Kya mai kahin bhi nahi hun

Tumhari zindagi may

Kya sab nay guzar diya

Mujhe bhi guzre waqt ki tarah 

Kya mai nahi thi waqt sunehra

Tumhari zindagi may

Shayed mai guzar gah thi

Tumhari zindagi may

Jo jali mashaal ban kar

Tumhari zindagi may

Vo wahed etbaar ki thi kashti 

Her kinare per mili thi tumko 

Tumhari zindagi may    

Damangeer khauf tha ye ke

Kahin agar tum mujhe na paao 

Tumhari zindagi may

Kahin tum ho na jaao hirasaan

Hersu dekh kar behissi ka alam

Tumhari zindagi may 

Duniya  azal say azmati rahi hai

Chaha tha rahungi dhaal ban kar

Tumhari zindagi may

Ab darmyan faasla hai jiddaton ka

Muddaton ke paaley rah gaye kinaare 

Hum hain wahi ristey huye chaaley 

Tumhari zindagi may

Waqt ke sailab may bah gaye hain

Aur mahu-e-khayal hogaye hain

Her taraf hai hu ka alam

Hamari zindagi may

Sunday, June 28, 2026

Khayaal khwab hogaye.......


Ye duniya kyon lag rahi hai ajnabi 

Kabhi yehan rahti thi koi sarphiri 

Jis ka khayal tha hogi ek din duniya meri 

Khayaal khwab hogaye duniya badal gai

Deewangi ki umar mukhtasar thi dhal gaii

Sab ne kaha tu ghalath hum hi hain sahi

Isi tazbazab ka shikar hoti rahi zindagi

Kya hua ye duniya mujh ko na mil saki

Magar mujhe is ki khabar tou mil gaii

Jabaja bikhre huye be-shumar dil mile

per khabar dilon ki teri nazar se mil gaii

Koi kisi ki khushi may kahan khush hua

Hawas-e-rang-o-bu unki zaat ko Nigal gaii

kya waqi dilon ki dastakari ki shert thi yehi

tamam umar ke paiwand liye shaam dhal gaii

koi khuli ankhon se tujhe yarab niharta raha

koi khud-feramoshi may tujh ko pukarta raha

nafs ki rasa-kashi may umar admi ki nikal gaii

tuney ajab banaye dil jo kahin teherte hi nahi

sadiyon se matamkinan dilon ko akhir ek din

unki talash ko manzil , justaju ku raah mil gaii

Saturday, June 6, 2026

Tum tou chaley gaye …



Tum tou chaley gaye

Per zindagi nahi gaii

jo guzri saath zindagi

Mujh may. hi rah gaii

———————----------------------

Guzrey kal ko sab ne maazi kaha

Aur bhul gaye maazi ka bhi haal tha

Aane waale kal ki wahi to mashaal tha

Uski roshni ke baghair safar mohal tha

Kya kya manzar dil per naqsh hote rahe

Jin ke dum se haasil-e-zindagi ka Jamal tha

Sadiyon per muhit tha kul waqt ka hisaab 

Na Jis ka Shumar ho saka dil ka kamal tha

Tukdon may butt gaya hai muntashar wajud

Her su chubta hua wahi ek sawaal tha

Akhir tu ne kyon chuna ishq-o-mohabbat ka raasta

Vasal-o-Hijr se parey wahan sirf  tera khayaal tha

Meherbaniyan teri azeez hum ko itni theen Azeez

Teri inayeton ke baghair apna   jeena mohaal tha

Saturday, May 30, 2026

Ye Tera derd hai ye mera derd hai,,,,,



 Ye Tera derd hai ye mera derd hai

Zehen-o-dil ka mosam bhi serd hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zamane bhar ki dhul may ati hui

Sadiyon purani jami wahi gerd hai

kub kiwad koi khule mujh se Miley

Mai us kay daaman say jaa milun

Uske chehrey per khud ko malun 

Phir kahin qarar ki manzilon ka tayeen ho

Barson ke baad aasudah uski jabeen ho

Kitney un-kahey palon ki meherbaniyan   liye

Ghuti ghuti saanson nay lub waa kiye

Be-awaz zulmaton ki un-suni suna kiye

In haweliyon ke israar may dabay dabay

chatpataate dilon nay jaam hasrathon ke piye

Koi guzar roshni ka jahan hua hi na ho

Wahan ummid kaafi hai roshni ke liye

Ye khilwat kadey ka purana dastoor hai wahi

Ke koi teesra na ho mukhal hone ke liye

Ye  alif lailwi afsanawi si raat hai jahan

Haqeeqaten lipti hui hain apni daastan liye

Khwab muntazar hain apni taabeer ke liye

Koi samaan tou kare in ki takmil ke liye

Koi jhonka , le udey hawason pe jami gerd ye

ke  wazah hojaaye tera paikar pal bhar kay liye

Thursday, May 28, 2026

Teri yaad hi mere hosh ki dawa hai....



Teri yaad hi mere hosh ki dawa hai

Teri yaad hi meri Ummid ki baqa hai

———————————————————

waqt yehi keh raha hai 

mai wafa na kar sakunga

mujh say zakham jo milenge

mai unki dawa na kar sakunga

ke guzrey pal wapis na aa-sakenge

in ka shikwa kabhi na kar sakunga

taye yehi hua tha kaatib-e-zindagi say

ek pal bhi apna zyaan na kar sakunga

bani nu tu bhul baitha chaal waqt ki 

Rab ki raza ke aagey kuch na kar sakunga

uski niyamaton may kahin koi kami nahi thi

shumaar ghaflaton ka in may na kar sakunga

tu ne sitahi luzzaton may ganwai apni umar 

Takraar teri rooh ki unsuni na kar sakunga

Qadar waqt ki waqt rahte kar le maan jaa tu

gar guzar gaya mai phir wapas na aa sakunga

Wednesday, April 22, 2026

mere dosto.............



 mere dosto
-------------------
umar waqt may gar simat aaye
koi dil isey na qaid kar paaye
ye jo lamha hai yehi zindagani hai
baaqi jo guzra vo kal ki kahani hai
inhi palon ko ho sake tou javidan karlo
inhi palon may apne haseen rang bhar lo
tumhari kasoti  ye haseen rishtey naatey hain
jinhien tumne besh-qeemat pal apne baantey hain
ye sauda begharz hai karobar-e-hasti ka
kar dua na kar shikwa ghum-e-hasti ka
azal se duiya may ghalthan hain insaan
zamaane badlte hain magar na badley insaan
khalikh ne apni duty tumhare zimmey lagaii hai
isi liye maa baap ke qadmon taley junnat bichaii hai
ab gila kaisa chodo bhi jo boyega vo kaatega
dil todne wala laakhon may pehchana jaayega
akhir apne dil say bach kar kahan jaayega
meri maano    markaz badal daalo    dosto mere
nazar uthao khud ko pehechano dosto mere
zindagi ba-maqsad ho tou her tarha se mukamal hai
jis ke pesh-e-nazar ho karam wahi insan akmal hai

vo junun aaj bhi raqsan hai....




vo junun aaj bhi raqsan hai

soch abhi tak larzaan hai 

Jub jub yaad teri aati hai 

teri  dastak chain churati hai

Mere hosh ko awaz na de koi

Mere junun ki maang hai yehi

Mujhe soch may apni jalney de 

Mujhe is aag may jeene marne de

Ye ishq asaan kabhi raha nahi 

Tujhe Jo kehna tha kabhi kaha nahi

Dhadkan may jub tak shamil hai tu

Teri meri baat chalegi ku ba ku

Zindagi gulshan ka karobar lagey

Khizaan bhi mosam-e-bahar  lagey

bas yaad-e-maazi haasil hai kal ka

bas yehi ek sila hai is ghaafil ka

sau baaton ki aye dil ek baat yehi

tujh say mil kar lagi her baat sahi