Search This Blog

Monday, August 29, 2016

inaayet





in shab-o-roz ki mai nazar hogaii hun
Duniya kya mai teri shikaar hogaii hun
sab chah waale aaye,chah kar chale gaye
mai teri chahton may ashkaar hogii hun
waqt ne cheen daale ankhon se ujaale
thaam kar tera daman, paar hogaii hun
teri karigari se seekhi,dilon ki dastkaari
teri inaayeton se mai sarshaar hogaii hun
chahe mujhe ye duniya jitna bhi azmaa le
un ki mohabbaton ki talabgaar hogaii hun
khahish hai sarphire ki, deewangi hai dil ki
de kar dil dil ko ye dil,dildaar hogaii hun
log khudnuma hain,dusron ka safar bhi karte
aaine se kar ke ulfat,uska kirdar hogaii hun
waqt ki nazar hai na zubaan hai, jo koi sun le
nadaan tumhaare azal ki mai pukaar hogai hun
shahon se azeemter hain mumtaz karne waale
tumhare is rukan ki mai parastar hogai hun

tere israar ka karam hai.............







tere israar ka karam hai
mera bolta ye qalam hai
ye fiza  bhi  aaj num hai
mosam ka mizaj gum hai
na jaane kis ka ghum hai
duniya guman waham hai
aqal azal se na-faham hai
ek  apni zaat hi sitam hai

Thursday, August 18, 2016

Ek umr ganwa kar jaana ye .....






Khwab sunehre dekhe they
Ek umr ganwa kar jaana ye
Khwab jisey hum kehte they
usi ko duniya kehte hain
Ab tak jaari hai shoghal nindon ka
Ankh khuli to jaane kya hoga
Hosakta hai phir nind kabhi aaye na
Ankhon ko hawas hai jin jalwon ki
Unse phir nazar churaii jaaye na
Ek lafz fasana ban jaayega
Dil deewana ajab khel khilayega
Jaane kis kis ke aage jhukayega
Phir bhi haath kuch nahi aayega
Ye sabaq wahi hain Teri maktab ke
Jo samajh Gaya vo paar gaya
Jo na samjha uska Jeena bekaar Gaya


Sunday, August 14, 2016

Ek tera khayaal le kar .......






Zakham khaate rahe ashk peete rahe
Ek Tera khayaal le kar hum jeete rahe
Duniya ne hum pe Laakh todey sitam
Her zakham apna hans kar seete rahe
Liya imtihan khird ka kuch is tarha 
Jism-o-rooh se  be-khabar jeete rahe
They Uski ulfat ke bade ajab masghale
Khayaal uski perwaz  per buland hote rahe
Ekhtiyaar tha jin pe ekhtiyaar de na sake
Khamoshi Se  zindagi may jaate aate rahe
Ek umar khud per hans kar guzaar li
Na-samajh they duniya Se takrar karte rahe
Duniya apne junun may mahu-e-raqs thi
Jaane kyon her ilzaam sar apne hum lete rahe
Hai Umar tohfa  her subah ek nai zindagi
nadan zindagi bhar zindagi per rotey rahe

Thursday, August 11, 2016

hosh ki badal rahi hain manzilein.....................




maine dekha hai in tukdon ko jod kar
tujhi may dhal gaye khud ko mode kar
koi dil tod kar gaya koi muh mode kar
tera khayaal nahi gaya mujhe chod kar

hosh ki badal rahi hain  manzilein
asaan horahi hain duniya ki mushkilein
ja baja tere khayaal ki hain mehefilein
saara chaman tera aur teri hi bulbulein

tufaan apni zad may kahaan le sakey
daur kabhi hum per se na guzar sakey
tujh se aye dil hum na door ho sakey
ye khayaal phir  kisi  ke na  ho  sakey

Tuesday, August 9, 2016

nazar kehti hai aah bas ek nazar................







umr qaid may jub hoti hai basar
nazar kehti hai aah bas ek nazar
chaand ko ab nahi raaton ki khabar 
mataa-e-kul hai do sitaron ka nagar 

ek tees uthaati hai ajab ghum ki leher
mujh se pehle sab ne kiya hai ye safar
ye padau hain wahi hai purani ye dagar
in se bach kar kaise jaa paayega bashar

daur dar daur qist dar qist roz-e-hashar
insaan bada nadan kahan paata hai nazar
waqt ko na meeras bana ye zulm na kar
teri rahbari ke liye hi aaye hain khizar


                                 

Tuesday, August 2, 2016

huma waqt hai teri yaad ka dera......................





koi paikar tou nahi hai 
vo ehsaas hai mera
ek ujaala hai rubaru
chahe shaam ho ya sawera
jub koi chod jaata hai mujhe
kehta hai mai tou hun tera
bas dil hai isi surur ka aadi
is roshni ke aage kya hai andhera
mah-o-saal ka yehan hosh kisey hai
huma waqt hai teri yaad ka dera
waqt ne leli her shaye hum se suhani
mere saath bacha hai tera daur sunehra
aakhir mere khuda ne apna bana kar
Apne jalwon ko teri ankhon Se bikhera