Search This Blog

Monday, October 18, 2010

Mai ek khamosh samandar hun


Mai ek khamosh samandar hun
Mujhe Saahil ki zarurat kya hai

Jis kashti ko ho manzil ka patta
usey kinaaron ki zarurat kya hai
tundd thapedon ka sahaara jinko
unhen baadbaan ki zarurat kya hai
raha ho hawaon ka karam jin per
unhen azmaane ki zarurat kya hai
raahnuma hojaaye bhatakti lau hi
unhen bhatakne ki zarurat kya hai
bhanvar gardab jinka sahara honge
unhen kisi aur ki zarurat kya hai
bin maange mil jaaye jinhen moti
unhen maangne ki zarurat kya hai
mangton ki jholi dekhi sada khaali
saayel ko sawali ki zarurat kya hai
raaz hasti pay muhit hai kaainath
aaina dikhaane ki zarurat kya hai

Sunday, October 17, 2010

Kirdaar



Daulat ke dher per
Jo huye hain badey
Kaash hotey inmey kahin
Laal kirdaar ke bhi judey
hai Nafs ki roz khana-puri
hain daawey sharafat ke badey
her nek se sadion ka bair hai
khud zameer say kabhi na ladey
roshni zarr-o-zann may kahaan
chaand ulfat ka jub tak na chadey

Friday, October 15, 2010

Sheher-e-Dil

aap say baaten kartey hain
wahi waqt suhana lagta hai
ek sairi dil ko haasil hoti hai
Saara aalam begaana lagta hai
Jis tarha khuda ko dekha nahi
Ek ehsaas jaana maana lagta hai
Her baab Andekhi mulaqaton ka
Shehar-e-dil ka fasaana lagta hai
Kya naam dey koii in jazbon ko
Ye saanson ka bhaana lagta hai

Tuesday, October 5, 2010

Wida


Mere yaqeen se us ko itna pyaar hai
Mujhse bichad ke bhi mera intizaar hai
Wida kiya jisne mujh ko keh kar alwida
Aaj mere intizaar may wahi be-qaraar hai
Saleb per zaruraton ki latak rahi hai zindagi
Sar per muallaq shikayeton ki talwaar hai
Milegi Ummid ko kabhi manzil yaqeen rakh
Sab kuch hai terey paas,sabar darkaar hai
Beech raah may koii khalish azmaaye agar
Samjh lijiyo ye faqat nafs ki takraar hai
Ye Ishq ka safar aasaan nahi hai taalibo
Her lamha imtihaan ,her raah khaardar hai