Search This Blog

Thursday, September 14, 2023

paas-e-wafa

 



un rishton ka mai kya karun

jo mujhe kabhi na mil sakey

ye khuda se hain per khuda nahi

jinke baghair zindagi na chal sakey

zar,zan,zameen si hain inki mohabatein

unka nizam inke baghair na chal sakey

dhunde jwaaz mohabbaton ke,ke shayed koi

gharz ka maara, dil ke damon hi mil sakey

zaruratein yon mohabbaton ko kha gayeen

dono kahan is bheed may saath chal sakey

aaj umar ki thakan zindagi ki kitaab se

dhundti hai kaash aisa koi lamha mil sakey

jahaan koi yaad karta ho yon hi humein

ehsaas rishton ka humein kaash phir se mil sakey

vo bhi gaye, nibhaii jinhon ne khamoshi

waqt-e-rukhsat shayed goyaii hum ko mil sakey

jaane kitney sawal zehen-o-dil may dafan hain

aram in kofaton ko shayed hi kabhi mil sakey

Efa-e-ahad ne chin liye dil ke saarey ekhtiyaar

aye kaash kabhi ekhtiyaar is dil ko mil sakey

lahu ki kashish ek din rang laayegi zarur

dil-e-natwaan ko iski khabar shayed na mil sakey

suragh humne paa liya is kashmakash ka aye huzur

derd ke maaron ko darmaan tum sa na mil sakey

Monday, September 11, 2023

Ghum-e-Hijraan

 



Tere jaane ka manzar

Ankhon se nahi jaata

dil is mitti ki haqeeqat 

maan kyon nahi jaata

shahar-e-khamoshan se

wapes  koi  nahi  aata

---------------------------------------

tu ne kaha tha kabhi mujh se

azeez hun mai jaan se zyada

jaate jaate teri jaan kah gaii hai

Usey paas nahi tere qaul ka zara sa

khalikh ne ajab khel ye racha hai

Dil-e-adam ka nahi kiya khulasa

be-basi dilon ki ajab be-basi hai

Agley jahan Ka mila hai unhein dilasa

aye kaash bheys adam ka tu bhi leta

mohabbat ki bebasi ka raaz jaan jaata

maana ke tera banda la-faani nahi hai

ghum-e-hijraan ki saubaton se hi jaan jaata

jeene marne ke hausle diye zarur tune

jaane waalon ka ghum uthaya nahi jaata

un ankhon ki khamoshi shikwa kinaan thi

hijir ka ye mosam teher kyon nahi jaata