Search This Blog

Saturday, April 13, 2024

jaate jaate ye tamasha bhi aam kar jaayenge....

 


kahan socha tha aap raah alag apni kar jaayenge

Kahan socha tha aap Zindagi se meri guzar jaayenge

log kehte hain sath waqt ke zakham bhar jaayenge

Is tarha ek aur teer mere ristey dil per chalayenge

jaate jaate ye tamasha bhi hum aam kar jaayenge

akhir khaali ankhon ke ilzam kis ke sar jaayenge

asan nahi tha un ka mujh se bichad jaana yon

ek umar le kar meri,akhir kaise mukar jaayenge

kya mai samjhun ke yaad ab unko kuch bhi nahi

ya udaas shaamon may chupke se uter aayenge

meri tanhaion ko bana lenge mohabbat ka gawah

ya apni khamoshiyon ko mere naam kar jaayenge

aye dil kise tha patta hum jeete ji mar jaayenge

vo zameen ki aghosh ko apna miskin banayenge

Darmyan asman aur zameen ke hum rah jaayenge

saathi umar bhar ke hum ko akela kar jaayenge

aye mosam-e-gul bata....




mere derd ki koi dawa nahi

is se pehle kya hua hi nahi 

ye itna bhi ab sawa  nahi

phir tou ye gila,gila hi nahi

--------------------------

aye mosam-e-gul bata

isme meri kya thi khata

arzu gulon ki tha chaman

gulon se ishq khizan ko bhi tha

pathjhad ka khauf dono ko tha

ek duje se bichadna taye jo tha

mosamon ki jawani thi mokhtasar

gulon ka husn bujhta hai peshter

khilti kaliyon ko bikherna bhi tha

daliyon se ekdin bichadna bhi tha

jaate jaate meheka gaye kitney dil

mehefil may sama unki khushbu se tha

qurbani koi rayegaan kabhi jaati nahi

ishq ke husn ko kabhi maut aati nahi

Thursday, April 11, 2024

ye daur bhi abur kar hi lenge....

 



koii ahat  na ummid-e-nau koii

bas sunnata aur hu ka alam hai

-------------------------------------

yon hi hota raha hoga is waqt-e- faani may

ye daur bhi abur kar hi lenge  zindgani may

rishta saayeban ka  deewaron se hai qayam

kya saaye sirf saath chalte hain  jawani may

takmil ke liye apni,adhure baab koshan hain

be sar-o-pa be-rabt unwan hain kahani may

akhir kyon jeena bhi mushkil  hai marna bhi

be-kasi ne maza paaya bhi tou lun tarani may

manzilein ehsaas ki taye hoti hain sherton per

her roz milta hai ek daras namkeen paani may

"wahadahu lashareeka lahu"pe hoti hai ibtida dil ki

agar samjhe tou hai faani madghum laa-faani may

Friday, March 15, 2024

Sukun



jis ko dhunda tu ne gali gali 
vo tou azal se tujh may hi tha
efa   ka waada tu tou bhul gaya
magar ahad rag-e-jaan may hi  tha
farar la-haasil   aye fareb-e-nazar
huma waaqt tu  uski nazar may tha
teri fitrat ne daawey tou bade kiye
magar kamal  iblis   ke jhaansey may tha
ghulba-e-nafs ne chin liya  tujhe,tujh se 
khalifa-e-waqt per ye  waqt aana hi   tha
ye daud teri tujh se tera sab le legi
sukun dil ka dil may uske hone se tha

is insaanon ke jungal may...

 


is insaanon ke jungal may

naam hai hum deewanon ka 

hosh ki baatein sab karte hain

magar saath hai paimanon ka

ye daur hisson ko le dooba hai

yehan shor hai mayekhanon ka

laakh samjhaya rab ki hikmat nay

magar hai haal wahi uchakte shaanon ka

ghafil agah hai aane waale kal say 

aadi hai pal do pal ke latafath khanon ka

ye duniya husn o ishq may ghalthan hai

ye mahaz pesh khima hai tufanon ka

rab ne kasar takhlikh may koi na rakhi

insan khud dushman hai apni jaanon ka

chund roza ayeshparasti ne haq faramosh kiya

warna adam bashinda tha azal se asmaanon ka

Thursday, February 15, 2024

Ishq hai martaba.....

 


badi dair se mila 

ye jalwa tera

raaz ab aaya samajh

ishq hai martaba

aye ishq marhaba

aye ishq marhaba

sab maanga kiye khushi

vo dhundta hai sada

lamatnahi derd ki intiha

is daur-e-jahad ke baad

jism kya dil bhi na raha

tujh se shuru tujhi pe khatam

adam ka hona tera silsila

kitne aaye gaye

ek tu dil se na gaya

in dhadkanon ke vird ka

hai tu hi wahed gawah

Saturday, February 10, 2024

Ishq perwaz rooh ki hai .....

 

vo jawaan saal ladki

aaj bhi muntazar hai

tu is dil ki ahaton ko

pehchan le kabhi tou

girti hui nabz ko kabhi tou

apne do lafzon se thaam le

kabhi apni zuban se kaam le

mai is intizar ka karun kya

jo na khatam hone ka naam le

is izterab ka yehi faisla hua hai

umarbhar ki be-qarari ka inaam le

jahan may chahaton ke khisse mashoor hain

aye dil tu rab ki inayeton ka jaam le

surur intizar ka vasal may kahan 

hijir ki saa-aton may khuda ke pyaam le

khauf-o-khushi mohabbat ki nahi zameen 

ishq perwaz rooh ki hai tu apna moqam le

Thursday, January 18, 2024

Ek ajeeb sa khula hai...





Ek ajeeb sa khula hai

Akhir aisa kyon bhala hai

Jisey bhi kuch mila hai

Bas yehin pe mila hai

-------------------------------

shab-o-roz ki musalsal 

amad-o-raft bhi na badli

bas hum badal gaye hain

chachahati zindagi say

apni udaanein nikal gaii hain

kya khoob din they vo bhi

lagta hai din badal gaye hain

chahaton ki chathon say

risti huii udasiyon may

hum khamosh dhal gaye hain

kya koi khushgawar mosam 

humein bhi kabhi mila tha

mohabbaton ki baarishon may

kya kabhi ye dil jala tha

haan yaad kar rahe hain

jugnuon chaand taaron ki humnasheeni

kabhi hum bhi they teri sangaton may

bojhal madhoshiyon ke haseen jhuley

sehen-e-dil per ab bhi padey huye hain

magar khayal khud may simat gaye hain

kya waqt ki badalti hai chaal yon bhi 

yaadon may bhi sab bikher gaya hai

aah zindagi tu tou waqi mokhtasar hai

khud tujh ko kal ki khabar nahi hai

tune chin lein mujh se meri bahahrein

na vo khwab baqi na unke sahaarey

laikin itna zarur aye dil hua hai

dil ki kashti lag gaii kinaarey

teri muskurahaton ne kaha hai

tere yaqeen ko manzil mili hai

deewanon ki gali hi rab ki gali hai

derd ke maaron ko saughat ye mili hai