Search This Blog

Thursday, May 27, 2010

zindgi pal ki udaan hai


Zindgi humne suna hai
Sada rawan dawan hai
Mai kaise maan lun
Aakhir zindgi kahan hai
Guzarey huye palon ki
Bhuli si dastaan hai
Ye daur kaunsa hai
ye kaunsa jahaan hai
Gum-naam saahilon sa
Be-naam-o-nishaan hai
Koi chaap keh rahi hai
Intizar bad-guman hai
Bojhal fiza ka aanchal
kashti ka baadbaan hai
shorish-e-mauj hai ishara
bas aane ko tufaan hai
be-khatar hain perwane
yehi raat unki aan hai
shamma ki roshni may
un lubon ki muskan hai
hai mahu-e-khwab kubse
khayaal-e-visaal-e-jaan hai
mehrab mehal hain mitti
zindgi pal ki udaan hai

Monday, May 17, 2010

Ye khamoshi gar baaten karti


Ye khamoshi gar baaten karti
shikwe saarey jhutey lagtey
sach agar kehne pe aatey
khud ko us ka aks hi paate
aaj bhi vo gunj hai meri
ye baat usey kaise bataatey
be-hisi ki ek chahdar odhey
phir mujhey samjhane aatey
Baaton wadon ki zanjeeron may
tilsim ko qaid na kar paatey
saara samaa tha ek haqeeqat
ek apne hi they ferzi naatey
sar se jub bhi sarki chadar
gidhon ko dekha hai mandlatey
andheron ki aadi hain ankhen
ujalon se ankh kaise milaatey
aakhir naam kitne badlega vo
ek naam hum le nahi paatey
kabhi haqeeqat kabhi fasana
hum us ko likh nahi paatey
pucha hai jub bhi us say
aakhir sach kyon nahi batlatey
uski khamoshi yehi kehti hai
jaante ho samjh nahi paatey
ek katehra hai ye jeevan
mulzim roz hain aate jaatey

Saturday, May 8, 2010

Aye zindgi ab tujh may



Aye zindgi ab tujh may
vo baat hi kahaan hai
Ab aye asmaan tujh may
Kahaan koi kahkashan hai
Aye udaas raat tujh may
Koi karb neem jaan hai
Is sara-seemgi ke peechey
Koii khamosh sa tufaan hai
Tha jahan kirdaron ka mela
Ab kahaan vo dastaan hai
Her muskurahat ke peeche
Koi gharz hukmaraan hai
In lakdion ke gharon may
Ab kahaan koi makaan hai
Dekh Mosamon ki bewafaii
Hawa kub se pareshan hai
Hai her subah machinon si
Zindgi ab na-meherbaan hai
Shaamon ko tou dhalna hai
Waqt bhala rukta kahaan hai
Ek mai hi patharai nahi hun
Yehaan her koi chataan hai

Wednesday, May 5, 2010

phir ek shab teri yaad ban kar


phir ek shab teri yaad ban kar

saare lamhe khaaron se chun kar

ek ek gul se khushbu chura kar

kitne khoonin rangon may naha kar

saari sarphiri khahishon ko sula kar

chupke se kehti hai kaano may aa kar

mohabbat usey raas aaye wafa kar

dekh chalta hai vo daman bacha kar

riyaa-kaar milte hain perda gira kar

kitna kaha tha na khud se mila kar

khata-kaar ke liye na tu khataa kar

Aah!Roshan hua dil sab kuch jala kar

Aaine,ab na yon mujh per hansa kar

Rab mila hai usey dil may basa kar

Sunday, May 2, 2010

Jinhen naaz hai


Wafa agar lafzon may samaati

Kitney danaavon ko lahu rulaati

Jinhen naaz hai wafaaon pe apni

Un per haqeeqat ke nashtar chalati

Mudaris bhul baithe hain sabaq apne

Dastur-e-tadris unhen samjhaane aati

Aye Khoob-tar talaash karne waalo

Tum may ye ranaaii kaise samaati

Mana wafa sab ko haasil nahi hai

ye aag deewanon ko nahi jalaati

bheegi ruton ki ghaayel hain aankhen

bhala naaz inke pagli kaise uthaati

jo maye mohabbat ki do ghunt piley

kahaan hosh may khud ko ye paati

mohabbat ka her lamha wafa hai

lafzon se kahaan ye maat khaati