Search This Blog

Tuesday, December 26, 2017

khamoshi





jub say mile hum aap say
roz hi khud say milte rahe
ishq kya hai soz-e-ishq kya
raaz ahista ahista khulte rahe
hum teri her zarb-e-ishq say
apni taqdeer ko badalte rahe
baad muddat ke tujhe jaan kar
saare khwab ankh malte rahe
kya khoob thi dil ki dillagi
dil laga kar ye dil rulte rahe
Rab ne derd ko dermaan kiya
dono saath saath chalte rahe
Sadiyon ka tha guman waqt per
Aur daur pal may badalte rahe
hijr ki saubatein tera hi rang
yaad say teri roz milte rahe
in barf jazbon ki auqaat kya
ek teri aah say pighalte rahe
sau jatan kar ke bhi haara kiye
tamam umr girte sambhalte rahe
ye khamoshi mahshar se kum nahi
shab-o-roz charagh-e-dil jalte rahe

Saturday, December 2, 2017

teri yaad...............





maine dekha hai teri ankhon may rehana
aaj bhi waan hai khwabon ka maikhaana
her lamha pesh hota hai ulfat ka nazrana
ek nazar-e-karam say dil hua hai mastana
asan nahi pyaare dilon ka bhed paa jaana
chaand ka badal se laazmi hai nikal aana
na raha junun baaqi na hosh na deewana
hai ajab alam khudi ka khud say begaana
jaise bin khile bandh kaliyon ko mehkana
dil faqat naam per tere seekha hai itrana
ye zindagi asan kar gaya hai ek tera hona
teri yaad kar jaati hai is khayaal ko soona
numi dil may uter aaye tou bekar hai rona
mohabbat ka kaam hai mit kar sanwar jaana

Thursday, November 30, 2017

in jalte bujhte palon ko...................




zindagi ki kashti gardab may phansi hai
maajhi ki koshish, hai ummid ki nishani
in bikhre huye palon ki hai wahi kahani
waqt dhal chuka, na dhali yaad ki jawani

---------------------------------------------------

tu apni sohbaton se 
mujhe kar gaya hai roshan
is madham si roshni say
kitne charagh jal uthe hain
in jalte bujhte palon ko
fanoos ban ke mil gaye hain
lafz dil ki dahliz say nikal kar
kisi khayal may dhal gaye hain
ek sach ke siwa sab hai jhuta
ek wahi duniya badal gaye hain
shamsheer keena-perwaron ki
kya chaak karsakegi quba ye
jise sarkar khud sil gaye hain
laakh daman raha hai khaali
taa-umar raha ho dil sawali
naam un ke saare pal gaye hain
sadiyon say muntazar arzoo ko
ek khayal say badal gaye hain

Friday, November 10, 2017

tere khayaal gunguna kar.................




mere khayaal bhi hain hairaan, 
meri soch bhi rahi pareshan
kahan kahan tujh se milti rahi hun
tere khayaal gunguna kar
khud ko lafzon may bunti rahi hun
ahaton ko wabasta kar ke tujh say
tere qadmon se phul chunti rahi hun
meri deewangi ka teri begangi say
ek atut rishta samajhti rahi hun
kitni sarkash thi perwaaz meri
khud apne per katarti rahi hun
mere haath na aa saka jo
us daman say ankh malti rahi hun
mai samajh rahi hun is khula ko
mai na-samajh kab se rulti rahi hun
yaqeen-o-guman may ajab dilkashi hai
yaqeenan mai tujh se hi milti rahi hun

Tuesday, October 31, 2017

Zindagi khaak ka Safar hai.....





Zindagi aur Kya hai
Saath hosh ka  hai
Chutney lage jub
Bas hafiz khuda hai
Jub tak dhadkanein hain
roz ek ghum naya hai
Saanson ke sang sang
her ghum hawa hai
Ajab dil ki dillagi hai
Aap mujrim aap hi gawah hai
Kahan rooh se bandha ye
Jaan leta rooh  ki kya sada hai
ehsas ka jo shor kal talak tha
Aaj her taraf macha hai
Kya koi nishani anmit rahegi
Haan zindagi lahu ka silsila hai
Mujhe gar kabhi yaad karna chaho
Mera khayal tumhari hi ada hai
Sood-o-zyaan sab rab ke hawaley
Manzil safar ki taye shuda hai
Khaak ko hai ek din khaak hona
Khaaki khaak se kub juda hai
Zindagi mahaz khaak ka safar hai
Is Shoreeda-sari may Kya rakha hai

Monday, October 16, 2017

Mere hosh ki dawa hai.....................






Mere hosh ki dawa hai
Salle ala Mohammed
Mere vird ka muddua hai
Salle Ala Mohammed
Meri rooh ki irteqa hai
Salle Ala Mohammed
Meri zeest ka martaba hai
Salle Ala Mohammed
mere qalb ki shafa hai
Salle Ala Mohammed
her derd ki dawa hai
Salle Ala Mohammed
Mohabbat ka ye sila hai
Salle Ala Mohammed
Kul kaainaat ka silsila hai
Salle Ala Mohammed
khuda se iqrar-e-wafa hai
Salle Ala Mohammed
Huzur dil ki sada hai
Salle Ala Mohammed
rahbar ka tohfa mila hai
Salle Ala Mohammed
Dil Isi zikr se dhula hai
Sale Ala Mohammed
Kan Kan may ghula hai
Salle Ala Mohammed
khuda isi vird may mila hai
Salle Ala Mohammed

Saturday, October 14, 2017

koi pal khayal hai.......................


koi pal khayal hai koi be-khayal hai
aaj  kal is dil  ka  ajeeb haal  hai

jaate huye palon se tujhe nikal kar
dil keh raha hai phir wahi sawal kar

ba adab ehsaas sar nigoon hai aaj tak
maula tu hi teri hikmaton ki laaj rakh

ruke huye qadamon tale muntazar hai koi dil
kya khabar ek aur qadam kahe aah! sambhal

deewangi kub bhala pasheman ho paayegi
paa kar teri ek nazar phir jawaan hojayegi

in bikhre huye jalwon may jo khoje tujhe
us dil ki pyaas ek siwa tere kaise bujhe

koi rang aisa nahi jahan tera rang mil sake
jis dil may tu uter gaya vo kabhi na badal sake

kal zeest ka aye khuda tera hi hoga karam
aaj ki tarha kal ka bhi tu rakh lena bharam

haqeeqat yehi hai dil dene waala hi hai derd bhi
takhilkh khalikh se mil kar hojaayegi serd bhi

Tuesday, October 3, 2017

Sochta hai dil.....




raaste tou hain magar hausla nahi
tamaam umar ka  ye tou sila nahi
ab  manzilon ko bhi koii gila  nahi
safar,safar hi nahi jise tu mila nahi

-------------------------------------------------
qadam tou hain magar humqadam nahi
humkhayaal bhi nahi humdum bhi nahi
her derd hai gawah ghum ka ghum nahi
is veeran buutkadey may koi sanam nahi

-----------------------------------------------------
chalo khamoshi ki hum zubaan hone lage
ab duniya ke saare sach bayaan hone lage
israar ishq ke is mode per ayaan hone lage
tab aata hai waqt ye koi dastaan hone lage

--------------------------------------------------------
shukur hai khuda dekhli humne teri ada
adam ke dum may tu hi tu deta hai sada
haq dil ka bhedh hai dil hai khana-e-khuda
jo khud se bichad gaya tujh se bhi hua juda

----------------------------------------------------------

zindagi tujhe mera khayal kyon nahi
sochta hai dil is ka malaal kyon nahi
bazyaabi per wajud nihaal kyon nahi
tere husn-o-ishq ko zawaal kyon nahi

-------------------------------------------------------------

Friday, September 22, 2017

aaya karenge ab tere khayaal yon....................





aaya karenge ab tere khayaal yon
jaise khizan-raseed gulon may rang-o-buu
udasiyon may tu ghul gaya hai yon
jaise be-jaan dasht may koi aab-juu
tere saare rang ek rang ho gaye
tu us ka hua jis ki tu hai arzoo
maula ye silsila hai pukaar ka sila
adam ke bheys may mil gaya hai tu
pehchan uski wussatein qismat na azma
Maangna hai adat teri rahmat uski  khu
tera carvan ek karam ka hai muntazar
raah bhi Teri rahbar bhi Tera kainath huu

Sunday, September 17, 2017

hain baarishon ki gawah.....................





hain in baarishon ki gawah 
jheel si ankhein bhari bhari
jinhein tha bheegne ka shauq
unhein ab saiyban ki talaash hai
sehra derd ka pyaasa to hai magar
uske honton per saaqi ki pyaas hai
ek ek buund jo ruki hai thami hui
taptey huye mosamon ki assas hai
ab is intizar ka apna hi hai maza
beqararion may ajab mithaas hai
waqt ka gila umr apne sang le gai
khayaal ko aaj bhi kisi ka paas hai
meherban daman se bandha hai dil 
nafraton ka chalan badhawaas hai
jaane zeest ki ye manzil hai konsi
be-aab-o-gaya ho kar bhi khaas hai


Thursday, September 7, 2017

Guzrey huye dinon ke......






Guzrey huye dino ke
Beetey huye palon say
Her guzra hua lamha nikal Gaya hai
Ajab gardab sa ye dil hai
Na jaane kitni hairaniyon ko
Ek saath Nigal gaya hai
Is darya ka koi nahi kinara
Manzar hai maujon ki mastiyon ka
Khauf paaniyon ka nikal Gaya hai
Khushion ka koi aur naam hoga
Kaii dino Se koi us se mila nahi hai
Ya usko,koi aur jhaansa mil Gaya hai
Aankhon se paanion ka rishta raha na koi
Buuton ki hukmarani ki hai meherbaani
Soch ka ye pal khud may dahal Gaya hai
Takiya kiya hai jis per,yarab rakhna usey salamat
Pukaar se bhi pehle milti hai Teri rahmat
ek tere karam se, nadan sanbhal Gaya hai

Ek muddat se tarasha the jisey tune khayalon may.....





ek muddat se tarasha tha jisey tune khayalon may
baarha dhunda  tha, jisey tune apne sawalon may
vo khwab nazar aata nahi kyon din ke ujalon may
ek buund ban ke chupa hai kitney hi pyaalon may
khul jaaye agar hojaaye kahin ruposh jaalon may
phir nazar aajaaye kahin derd bharey naalon may
asal se na mulaqat hui in guzrey huye saalon may
ek yaqeen, rahta hai rooh ke andekhe ujalon may

Monday, July 24, 2017

do lafzon pe mushtamal hai kul ye zindagi......................



aaj phir se kholi hai waqt ne
tarteeb se rakhi apni likhi kitaab
kab se tarsey huye they lams ku
udaas they kitne adhure baab
kaatib ne husn ko husn hi likha
waqt ne likha dubta hua koi mahtab
her ek nigah thi kitni mokhtalif
koi dil ban ke dekhta aur koi aqaab
jiske haath bhi laga be-mole hi raha
saudagaron ki bheed may dil kahan janab
na-aqibat, andeshon ke haath lut gaya
ye tou azal say khud may hi tha sazayab
do lafzon pe mushtamal hai kul ye zindagi
aqal-o-faham se honge dono jahan kamyab
zamaane pe ekhtiyaar us ek khuda ka hai
gar vo lene pe aagaya ho kar rahega hisab

Wednesday, July 19, 2017

Duniya se dil laga kar........






Duniya Se dil laga kar duniya ka bhedh paaya
Khuda Se dil lagaatey do jahan ka bhedh paatey
Aakhir kaha gaya kyon duniya hai ek kasoti
Roz hi hashar hai maidaan hain rishtey naatey
Ek pal saraab sa hai ek pal lagey haqeeqat
Koi khwaab sa pal, kabhi hum bhi jee ke aatey
Baad muddaton ke sehra ,qaafilon se mila hai
Hai ek raat ki tamanna ,tum chaand ban ke aatey
Ji bhar sab ne loota ,deewanon ki deewangi ko
Shauq-e-dushmanan samajh aata hai aatey aatey
kahan jaantey hain nadan pusht ba-khabar hai
hoga hisaab niyaton ka ,kaash waqt per jaan jaatey
sadq-e-dil se maangte gar, inaayet zaroor hoti
aaj tak na dekha ,waan se khaali kisi ko jaatey

Friday, July 14, 2017

ek nigah jaanib dil ke uthi hai........



phulon ki wadiyon may
ek dar abhi khula hai
madham si sargoshiyon may
koi chupke se aa mila hai
do nain pyaase pyaase
per in may na koi gila hai
gar ho batwara chahaton ka 
chahane waalon ka hausla hai
jo maange mun ka moti
usey us se sawa mila hai
jo khahishon may jala ho
ek khwab hi uska sila hai
mehekti saba keh rahi hai
shuru phir wahi silsila hai
koi khayal daman se liptey
lafzon may phir vo dhala hai
ek nigah jaanib dil ke uthi hai
her ahat per ye patta chala hai
bekhudi bhi ab khud may nahi hai
zindagi may ajab sa khula hai
shab-o-roz hain wahi ek lamha
jub jub khayaalon ko tu mila hai

Sunday, July 2, 2017

Ek khwab ho per .......................


Related image

jub baat husn ki chalti hai

Tum jaane kyon yaad aajate ho
ishq fiza may jub ghulta hai
khayal tumhare hojaate hain
koi dum fursat ka mil jaaye Tou
her baat tumhari yaad aati hai
gar waqt ehsaas se chin jaaye
tum waqt may dhal kar aate ho
ek lafz mere hisson ki herkat hai
wahi lafz liye tum darr aate ho
ye dil bhi ajab pagal-khana hai
apne israar lutaana chahta hai
pe dar pe zarbon se isko sataate ho
phir khamoshi se isey barmaate ho
fasanon per bhi gar ghaur karo
tah-e-aab ubhar kar aate hain
ek ek moti chun chun laate hain
tumhari aab-o-taab yaad dilaate hain
Ek khel barson se jaari hai khayalon may
Shab-o-roz ki gardish  ke maaron ka
Unki khatir unke liye unke  hojaate ho
Phir bhi unke haath kabhi na aate ho
Ek khwab ho per haqeeqat se pyaare ho
Ek tum hi to hum ko hum se milaate ho
apni ankhein hum may chod jaate ho
Bhaley duniya ko nazar na aate ho
Her dum ehsaas May tum jagmagaate ho

Monday, June 19, 2017

aksar raaton ko badal kar bhes hum apna.......................






aksar raaton ko badal kar bhes hum apna
khwabon ki  duniya  may ji  ke aate hain
yaqeen ki manzil  kahan  loag paate  hain
insan  yehan se wahan ja ja ke aate  hain

--------------------------------------------------

subah  az sar-e-nau ek naya iraada hai
jhonka  hawa ka hai ya koi  waada hai
zindagi ka safar hai  par pa pyaada hai
kal se aaj may jeene ki arzoo zyaada hai

----------------------------------------------------

gulon  se aaj phir pyaar ho  gaya hai
kya hua agar inhein khaar le gaya hai
serhadein muhafiz hain dushmanon ki
inhein nahaq hi dushman kaha gaya hai

--------------------------------------------------------

sarsabz wadiyon may chale they
tere qadamon se qadam  mila ke 
ek ajab hausla dil ko mil raha tha
teri justaju may khud ko bhula ke
purkhatar dhalan sa be-khatar tha
ek  nazar churali sab  se chupa ke
her taraf  basi hai ab tak yaad teri
roz ek naya rang  hain tere khaake
ekhtiyar mujh per tera bhi nahi hai
ye jazba mila hai khuda ko paa ke

Tuesday, June 13, 2017

teri hi ibtida hai........................



mai jaanti hun her waada tera sacha hai
ek teri rahmat ke siwa kya muddua hai
insan ki fitrat may hikmat hi poshida hai
her arzoo may bashar ki teri hi ibtida hai

-----------------------------------------------------

Gharz junnat bhi harees ka laalach hai
saheb agar zyaan Khahish-e-duniya hai
Asaayesh-e-junnat ka khwab ye Kya hai
Phir duniya kyon mahaz ek guzargah hai

-------------------------------------------------------

loag daryaon may ekdin aag lagaa denge
apne nafs ko aakhir kub tak hawa denge
gadagar jub koocha-e-haq ke sada denge
un ke kashkol may dil hans ke luta denge
haaziri ka qareena  mansoor sikha denge
nazeer khud ko raahon may bicha  denge
chund lamhe inayet kay paar laga  denge
tere sab dukh ,tere karam hi mita denge
ek raah asan hai mohabbat ki mila denge
yehin khaak say noor ka safar kara  denge

Sunday, June 4, 2017

Aye zikr-e-mustafa marhaba marhaba.....................





Aye zikr-e-mustafa marhaba marhaba
Deewanon ke hosh ki aap hi hain dawa
pyaase jaante hain kausar ka martaba
Aab-e-kausar pe rashk karta hai Khuda
sharf adam ka aap se,aap hi ho waasta
aap hi ki badaulat ,hai ashiqon ki baqa
aap ke jalwon may hai khana-e-khuda
aap se hi ki kaaniaath ki, Us ne ibtida
aye mujtaba aap hain inaayeton ki ada
aye shaafy-e-umam darkaar hai shafa
honge aboor pul , nifaq ka chod raasta
her nazar ho unki nazar ban unka gada

Thursday, May 25, 2017

kar nigaah-e-karam phir ek baar kar.......................





Aye watan-e-azeez mujhe yaad kar
mujhe de apna waasta faryaad  kar
mere wajud ko khud ki nahi khabar
jo faseel si hai uthi hui masmaar kar
vo jo kal tha tera mera hai khwab sa
rahne de husn yaad ka na aazaar kar
waqt ko de lagaam nigah ko taab de
apni nigah se phir isey do chaar kar
is hisaar se hisson ko mere azad kar 
kar nigaah-e-karam phir ek baar kar

Tuesday, May 16, 2017

Wahi nigaah sang liye phir rahe hain hum...........................





sabr-o-qarar ko awaaz de rahe hain hum
ek teri yaad se ghalath kar rahe hain ghum
kitna haseen tha teri mehefilon ka khumaar
wahi nigaah sang liye  phir rahe hain hum
do lafz kya mile khamosh hogaye hain dil
is tarz-e-ashiqi per mar mit rahe hain hum
chupke se qurbaton ki kara jaata hai koi sair
ek dil hai jis ka tawaaf kar rahe hain hum
kinara kashi teri aakhir kinaare pe le gaii
warna talaatum say ulajhte rahe hain hum
aaj bhi darkaar hai sarkaar hum ko rahbari
duniya junun hai shikaar ho rahe hain hum

Thursday, May 4, 2017

Duaon may jo aksar.................






Duaon may jo aksar yaad aate hain
Jaane vo log kaise hain jo bhul jaate hain
Umar saath haal maazi halaath ka rona 
Muazrath ke saath do lafz bole jaate hain
Zaaya kar na baaton may jo besh qimat hai
Yehi waqt hai jisey log aksar ganwaate hain
Roz-e-hashar dost hogi mahaz teri tanhaii
Na dost na behen na bhai saath aate hain
Qabil kar le khud ko abhi waqt baaqi hai
Sab yaad hain bas khuda ko bhul jaate hain
Asal may admi anjaan hai anjaam Se apne
Bahut kum hain jo khud ko khuda Se milaate hain
herkat jin ke dil ki khilaaf-e-fitrat Ho 
Wahi rab ki nazar may moqaam paate hain
dhoya hai sabhi ne bojh mahaz jismon ka
rooh ka bojh jaane kitne boojh paate hain
zindagi waqi ek adhura khwaab hai laikin
iski takmil ki khatir dono jahaan bhulaate hain
thaki thaki fizaon may naghma-sara yaad hai koi
jin ki duaon may hum khud ko roz paatey hain

Monday, May 1, 2017

rakh jalaaye charagh-e-dil.........................





aye mere dil hosh kar
tera raqeeb hai josh per
Jo gharq hai pehle se hi
Usey aur na mutahosh kar
mil gaya jise tera suragh
na jaa us ke naqoosh per
vo jo aata nahi hai nazar
hota hai hawa ke dosh per
gar paane ki usko chah hai
sawal ko apne khmosh kar
rakh jalaaye charagh-e-dil
yehi ek matta uske gosh kar

Monday, April 24, 2017

Ye sabz mosam.......

Image result for spring flowers trees


khayaalon ki hukmarani tamaam horahi hai
khamoshiyon ki meherbaani aam horahi hai
-------------------------------------------------------

ye sabz mosam,hain ummid ki nishaani
inhi se milti julti ,hai insaan ki kahaani
derd mosamon ka gardishon ki zubaani
jaakar jo laut aaye ye unki shaadmaani
uska karam hai teri, ankhon ka ye paani
aala wahi hai jisne, apni kabhi na maani
mubarak hain jinki,qadrein hain puraani
jaante hain yehan,her shaye hai aani jaani
naii nasal maangti hai,hikmaton ki nishaani
ab ke khud khuda ne unki rahbari ki thaani
jo rang dain dilon ko koi unka nahi hai saani
Her lamha paighaam kargai hai unki zindagani

Friday, April 21, 2017

karam karne waala kar gaya hai......






phir dil ka mosam badal gaya hai
koi khayalon se mil kar gaya hai
shayed koi taaza hawa ka jhonka
chupke se chu kar guzar gaya hai
ye sakhaawat aam tou nahi hai
karam karne wala kar gaya hai
ehsaas deta hai sadaq ki gawahi
isi ehsaas se koi sanwar gaya hai
saare adhure lagte they nazaare
koi inme rang apne bhar gaya hai

Monday, April 17, 2017

maine inhi khamoshion se ki roz guftagu................




aakhir usey bhi daman chudana agaya
akhir usey bhi ab nazar churana agaya
akhir ye fitrat-e-duniya hai saahibaan
akhir us ke haath bhi paimaana aagaya
kahan socha tha hai ulfat waqt se parey
akhir hisaab umar ka usey lagana agaya
tufanon may doshaala jo banta raha sada
aaj apni kamli kis tarha chupana agaya
mumkin nahi ke saaye ho jaayenge juda
meherbaan,ho na ho tujhe sataana agaya
maine inhi khamoshion se ki roz guftagu
un guzre palon may mujh ko jeena agaya
hum humrang na sahi taalib tou hain tere
humein apni khudi ko ab azmaana agaya

Tuesday, April 11, 2017

Kaii dino say.....








kaii dinon say
koi yaad ban kar
isi deewar per
mai tung gaii hun

jism ab raha nahi hai
bas rah gaii hain ankhein
vo jaane kis khoj may
asmaan say mil gaii hain

sitaaron se nazar milayein
nigahon ko taab ab kahan hai
chaand humshakal hai us ka
yehi khayaal ab meri jaan hai

noor may doobi tasveer koii
nigahon may chali arahi hai
un shafeeq haathon ki nermi
in may ghuli jaa rahi hai
jaise koi pyaasi birhan
in may dhuli jaa rahi hai

jitni azeeatein zeest ki theen
Darmyan say in ke nikal gai hun
dil aur duniya ke bhedh saarey
kya haath aaye, Sambhal  gaii hun

mehfuz hai aaj tak mujh may
un khushk lubon ka wada
us mutabassum chashm ka ishaara
humqadam hai vo mussamam irada

ek sadiq talluq ki roshni hai
naam jis ka zindagi hai
un be-zubaan sohabaton nay

kitnon ko sikhaii bandagi hai