Search This Blog

Sunday, April 2, 2023

Vo kahan nahi hai....






Ye diya jo timtima raha hai

De gaya hai suragh roshni ka

---------------------------------

sadiyon ki musafaton ney

umarbhar ki kofton ney

thaka diya hai hum ko

ajab hai ghum-e-duniya

taaqab may hai musalsal

her din naya jahad hai

khud se naya ahad hai

duniya-o-maafiha se hut kar

mila karenge khud se

apni khamoshi bhi ab khata hai

tanhaii ka sakut bhi narawa hai

akhir is duniya ko kya hua hai

her karwat lagey saza hai

akhir tum gaye hi kyon they

mere aur zamaane ki darmayaani

wahed deewar tumhi they

ab roz aate hain pathar

ab unke haath ye masghala hai

akela shikaar asaan hogaya hai

chalo chalaao saare teer-o-nashtar

ab hum may khuda bol uthega

mazlum dil ki aah se bhi pehle

rab bekason ka dil thaam lega

daro nadano waqt ke ghazab se

ye kabhi eksaa nahi rahega

is dil ne mar kar bhi di zindagi hai

chot kha kar bhi tamanna yehi ki hai

kaash sitamgaron ko kabhi sakun aaye

ye zakham hi unka madawa ban jaaye

khuda ne azmaishon se hi likhe moqadar

inke baghair abur ho na sake samandar

aye dil jub sab tujhe patta hai

phir kyon ye aah-o-bakaa hai

tujhe yaad ho ke yaad na ho

ye raaaste tune hi chune they

phir shikwa kaisa nashtaron se

jisey tune samjha sitam hai

shaayed wahi kaleed khild ki ho

kya ye sakun ki dawa nahi hai

ke khuda dil may hi kahin hai

vo sab sun raha hai jaanta hai

tutey huye dilon ko wahi thaamta hai

subah shaam usi se guftagu hai

vo kahan nahi hai vo ku ba ku hai